jis se itna bandha hua hai tu
jis se itnā bañdhā huā hai tū
us ko thoḌā bhī jāntā hai tū
terī āñkheñ tujhe dikhā.eñ kyā
jo nahīñ hai vo dekhtā hai tū
ḳhud koī baat kah nahīñ saktā
yuuñ to har vaqt boltā hai tū
mujh meñ maujūd thā tū pahle bhī
farq ye hai ki ab milā hai tū
jis se itna bandha hua hai tu
us ko thoDa bhi jaanta hai tu
teri aankhen tujhe dikhaen kya
jo nahin hai wo dekhta hai tu
KHud koi baat kah nahin sakta
yun to har waqt bolta hai tu
mujh mein maujud tha tu pahle bhi
farq ye hai ki ab mila hai tu
- Book : Lafz Magazine-August To Octobar-2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.