kisi dil mein Thikana ho gaya hai
kisi dil mein Thikana ho gaya hai
Swami Shyamanand Saraswati Roshan
MORE BYSwami Shyamanand Saraswati Roshan
kisī dil meñ Thikāna ho gayā hai
virodhī kul-zamāna ho gayā hai
tumhārā aanā jaanā ho gayā hai
zarūrī ghar sajānā ho gayā hai
bichhaḌtī hī nahīñ yādeñ tumhārī
tumheñ bichhḌe zamāna ho gayā hai
mile motī hameñ kyā āñsuoñ ke
hamārā dil ḳhazāna ho gayā hai
tumhārā prem kho kar sach hai 'raushan'
kaThin jīvan chalānā ho gayā hai
kisi dil mein Thikana ho gaya hai
wirodhi kul-zamana ho gaya hai
tumhaara aana jaana ho gaya hai
zaruri ghar sajaana ho gaya hai
bichhaDti hi nahin yaaden tumhaari
tumhein bichhDe zamana ho gaya hai
mile moti hamein kya aansuon ke
hamara dil KHazana ho gaya hai
tumhaara prem kho kar sach hai 'raushan'
kaThin jiwan chalana ho gaya hai
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 43)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.