man mein sapne agar nahin hote
man meñ sapne agar nahīñ hote
ham kabhī chāñd par nahīñ hote
sirf jangal meñ DhūñDhte kyuuñ ho
bheḌiye ab kidhar nahīñ hote
kab kī duniyā masān ban jaatī
is meñ shā.ir agar nahīñ hote
kis tarah vo ḳhudā ko pā.eñge
ḳhud se jo be-ḳhabar nahīñ hote
pūchhte ho pata Thikāna kyā
ham faqīroñ ke ghar nahīñ hote
man mein sapne agar nahin hote
hum kabhi chand par nahin hote
sirf jangal mein DhunDhte kyun ho
bheDiye ab kidhar nahin hote
kab ki duniya masan ban jati
is mein shair agar nahin hote
kis tarah wo KHuda ko paenge
KHud se jo be-KHabar nahin hote
puchhte ho pata Thikana kya
hum faqiron ke ghar nahin hote
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 47)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.