nafas nafas mein hain tarikiyan kahan rakh dun
nafas nafas meñ haiñ tārīkiyāñ kahāñ rakh duuñ
maiñ ik charāġh ujāle kahāñ kahāñ rakh duuñ
hai ik zamāne kī in se mirī shanāsā.ī
tumhīñ kaho ki ye tanhā.iyāñ kahāñ rakh duuñ
uḌā rahe haiñ sab apnī uḌaan ke qisse
maiñ apne TuuTe paroñ ke bayāñ kahāñ rakh duuñ
chhupā.ūñ shāhjahāñ se maiñ ḳhud ko laakh magar
jo taaj gaḌhtī haiñ vo uñgliyāñ kahāñ rakh duuñ
hasad kī ret hai hadd-e-nigāh tak 'akhilesh'
maiñ ye ḳhulūs kī kashtī kahāñ kahāñ rakh duuñ
nafas nafas mein hain tarikiyan kahan rakh dun
main ek charagh ujale kahan kahan rakh dun
hai ek zamane ki in se meri shanasai
tumhin kaho ki ye tanhaiyan kahan rakh dun
uDa rahe hain sab apni uDan ke qisse
main apne TuTe paron ke bayan kahan rakh dun
chhupaun shahjahan se main KHud ko lakh magar
jo taj gaDhti hain wo ungliyan kahan rakh dun
hasad ki ret hai hadd-e-nigah tak 'akhilesh'
main ye KHulus ki kashti kahan kahan rakh dun
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.