pas-e-manzar ko manzar kah rahe hain
pas-e-manzar ko manzar kah rahe haiñ
dar-o-dīvār ko ghar kah rahe haiñ
kahīñ se ek qatra maañg laa.e
usī ko ham samundar kah rahe haiñ
huā parvāz se mahrūm koī
yahāñ bikhre hue par kah rahe haiñ
vo zarra āsmāñ ko chuum aayā
sabhī is ko muqaddar kah rahe haiñ
pas-e-manzar ko manzar kah rahe hain
dar-o-diwar ko ghar kah rahe hain
kahin se ek qatra mang lae
usi ko hum samundar kah rahe hain
hua parwaz se mahrum koi
yahan bikhre hue par kah rahe hain
wo zarra aasman ko chum aaya
sabhi is ko muqaddar kah rahe hain
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 417)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.