qadam sanbhal ke baDhao ki raushni kam hai
qadam sanbhal ke baDhao ki raushni kam hai
Satish Balram Agnihotri
MORE BYSatish Balram Agnihotri
qadam sañbhal ke baḌhāo ki raushnī kam hai
agar ye bhuul na jaao ki raushnī kam hai
gharoñ ko aag lagāo ki raushnī kam hai
yahīñ se baat banāo ki raushnī kam hai
javāb ye ki koī rahnumā-e-qaum haiñ aap
agar kisī ko batāo ki raushnī kam hai
sahar ko shaam samajhnā jo bas kī baat nahīñ
yahī savāl uThāo ki raushnī kam hai
sharīk-e-bazm-e-siyāsat haiñ kuchh bure chehre
zarā qarīb to aao ki raushnī kam hai
sadā lagāo ki āñkheñ ajiib nemat haiñ
unheñ yaqīn dilāo ki raushnī kam hai
kahīñ jhapaT na paḌeñ din meñ mash.aleñ le kar
avaam ko na sujhāo ki raushnī kam hai
qadam sanbhal ke baDhao ki raushni kam hai
agar ye bhul na jao ki raushni kam hai
gharon ko aag lagao ki raushni kam hai
yahin se baat banao ki raushni kam hai
jawab ye ki koi rahnuma-e-qaum hain aap
agar kisi ko batao ki raushni kam hai
sahar ko sham samajhna jo bas ki baat nahin
yahi sawal uThao ki raushni kam hai
sharik-e-bazm-e-siyasat hain kuchh bure chehre
zara qarib to aao ki raushni kam hai
sada lagao ki aankhen ajib nemat hain
unhen yaqin dilao ki raushni kam hai
kahin jhapaT na paDen din mein mashalen le kar
awam ko na sujhao ki raushni kam hai
- Book : Lafz Magazine-01 Feb-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.