zamana aa gaya ruswaiyon tak tum nahin aae
zamāna aa gayā rusvā.iyoñ tak tum nahīñ aa.e
javānī aa ga.ī tanhā.iyoñ tak tum nahīñ aa.e
dharā par tham ga.ī āñdhī gagan meñ kāñptī bijlī
ghaTā.eñ aa ga.iiñ amrā.iyoñ tak tum nahīñ aa.e
nadī ke haath nirjhar ko milī paatī samundar ko
satah bhī aa ga.ī gahrā.iyoñ tak tum nahīñ aa.e
kisī ko dekhte hī aap ko ābhās hotā hai
nigāheñ aa ga.iiñ parchhā.iyoñ tak tum nahīñ aa.e
samāpan ho gayā nabh meñ sitāroñ kī sabhāoñ kā
udāsī aa ga.ī añgḌā.iyoñ tak tum nahīñ aa.e
na sham.a hai na parvāne ye kaisā rang-e-mahfil hai
ki mātam aa gayā shahnā.iyoñ tak tum nahīñ aa.e
zamana aa gaya ruswaiyon tak tum nahin aae
jawani aa gai tanhaiyon tak tum nahin aae
dhara par tham gai aandhi gagan mein kanpti bijli
ghaTaen aa gain amraiyon tak tum nahin aae
nadi ke hath nirjhar ko mili pati samundar ko
satah bhi aa gai gahraiyon tak tum nahin aae
kisi ko dekhte hi aap ko aabhas hota hai
nigahen aa gain parchhaiyon tak tum nahin aae
samapan ho gaya nabh mein sitaron ki sabhaon ka
udasi aa gai angDaiyon tak tum nahin aae
na shama hai na parwane ye kaisa rang-e-mahfil hai
ki matam aa gaya shahnaiyon tak tum nahin aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.