aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

HUMOR0US/ SATIRE SHER

paidā huā vakīl to shaitān ne kahā

lo aaj ham bhī sāhib-e-aulād ho ga.e

seeing the lawyer born, satan was moved to say

lo and behold I have become a father today

paida hua wakil to shaitan ne kaha

lo aaj hum bhi sahib-e-aulad ho gae

seeing the lawyer born, satan was moved to say

lo and behold I have become a father today

Akbar Allahabadi

akbar dabe nahīñ kisī sultāñ fauj se

lekin shahīd ho ga.e biivī nauj se

akbar dabe nahin kisi sultan ki fauj se

lekin shahid ho gae biwi ki nauj se

Akbar Allahabadi

maiñ bhī graduate huuñ tum bhī graduate

ilmī mubāhise hoñ zarā paas aa ke leT

main bhi graduate hun tum bhi graduate

ilmi mubahise hon zara pas aa ke leT

Akbar Allahabadi

B.A bhī paas hoñ mile bī-bī bhī dil-pasand

mehnat hai vo baat ye qismat baat hai

BA bhi pas hon mile bi-bi bhi dil-pasand

mehnat ki hai wo baat ye qismat ki baat hai

Akbar Allahabadi

ham kyā kaheñ ahbāb kyā kār-e-numāyāñ kar ga.e

B.A hue naukar hue pension milī phir mar ga.e

hum kya kahen ahbab kya kar-e-numayan kar gae

BA hue naukar hue pension mili phir mar gae

Akbar Allahabadi

ham aisī kul kitābeñ qābil-e-zabtī samajhte haiñ

ki jin ko paḌh ke laḌke baap ko ḳhabtī samajhte haiñ

we do deem all those books fit for confiscation

that sons read and think their father

hum aisi kul kitaben qabil-e-zabti samajhte hain

ki jin ko paDh ke laDke bap ko KHabti samajhte hain

we do deem all those books fit for confiscation

that sons read and think their father

Akbar Allahabadi

lipaT bhī na ruk 'akbar' ġhazab beauty hai

nahīñ nahīñ pe na ye hayā duty hai

lipaT bhi ja na ruk 'akbar' ghazab ki beauty hai

nahin nahin pe na ja ye haya ki duty hai

Akbar Allahabadi

ġhazab hai vo ziddī baḌe ho ga.e

maiñ leTā to uTh ke khaḌe ho ga.e

ghazab hai wo ziddi baDe ho gae

main leTa to uTh ke khaDe ho gae

Akbar Allahabadi

vasl ho firāq ho 'akbar'

jāgnā raat bhar musībat hai

whether in blissful union or in separation

staying up all night, is a botheration

wasl ho ya firaq ho 'akbar'

jagna raat bhar musibat hai

whether in blissful union or in separation

staying up all night, is a botheration

Akbar Allahabadi

haqīqī aur majāzī shā.erī meñ farq ye paayā

ki vo jaame se bāhar hai ye pājāme se bāhar hai

haqiqi aur majazi shaeri mein farq ye paya

ki wo jame se bahar hai ye pajame se bahar hai

Akbar Allahabadi

jo vaqt-e-ḳhatna maiñ chīḳhā to naa.ī ne kahā hañs kar

musalmānī meñ tāqat ḳhuun bahne se aatī hai

jo waqt-e-KHatna main chiKHa to nai ne kaha hans kar

musalmani mein taqat KHun hi bahne se aati hai

Akbar Allahabadi

is qadar thā khaTmaloñ chārpā.ī meñ hujūm

vasl dil se mire armān ruḳhsat ho gayā

is qadar tha khaTmalon ka chaarpai mein hujum

wasl ka dil se mere arman ruKHsat ho gaya

Akbar Allahabadi

batā.ūñ aap ko marne ke ba.ad kyā hogā

polāo khā.eñge ahbāb fātiha hogā

bataun aap ko marne ke baad kya hoga

polao khaenge ahbab fatiha hoga

Akbar Allahabadi

mai bhī hotel meñ piyo chanda bhī do masjid meñ

shaiḳh bhī ḳhush raheñ shaitān bhī be-zār na ho

mai bhi hotel mein piyo chanda bhi do masjid mein

shaiKH bhi KHush rahen shaitan bhi be-zar na ho

Akbar Allahabadi

dhamkā ke bose lūñgā ruḳh-e-rashk-e-māh

chandā vasūl hotā hai sāhab dabāv se

dhamka ke bose lunga ruKH-e-rashk-e-mah ka

chanda wasul hota hai sahab dabaw se

Akbar Allahabadi

coat aur patlūn jab pahnā to mister ban gayā

jab koī taqrīr jalse meñ leader ban gayā

donning fancy clothes beame a gentlean avowed

and turned into a leader on speaking to a crowd,

coat aur patlun jab pahna to mister ban gaya

jab koi taqrir ki jalse mein leader ban gaya

donning fancy clothes beame a gentlean avowed

and turned into a leader on speaking to a crowd,

Akbar Allahabadi

raqīboñ ne rapaT likhvā.ī hai ke thāne meñ

ki 'akbar' naam letā hai ḳhudā is zamāne meñ

raqibon ne rapaT likhwai hai ja ja ke thane mein

ki 'akbar' nam leta hai KHuda ka is zamane mein

Akbar Allahabadi

qaum ke ġham meñ dinner khāte haiñ hukkām ke saath

rañj leader ko bahut hai magar ārām ke saath

qaum ke gham mein dinner khate hain hukkaam ke sath

ranj leader ko bahut hai magar aaram ke sath

Akbar Allahabadi

barbād gulistāñ karne ko bas ek ullū kaafī thā

har shāḳh pe ullū baiThā hai anjām-e-gulistāñ kyā hogā

barbaad gulistan karne ko bas ek hi ullu kafi tha

har shaKH pe ullu baiTha hai anjam-e-gulistan kya hoga

Shauq Bahraichi

jab ġham huā chaḌhā liiñ do botaleñ ikaTThī

mullā dauḌ masjid 'akbar' dauḌ bhaTTī

jab gham hua chaDha lin do botalen ikaTThi

mulla ki dauD masjid 'akbar' ki dauD bhaTTi

Akbar Allahabadi

leaderoñ dhuum hai aur follower koī nahīñ

sab to general haiñ yahāñ āḳhir sipāhī kaun hai

leaderon ki dhum hai aur follower koi nahin

sab to general hain yahan aaKHir sipahi kaun hai

Akbar Allahabadi

baal apne baḌhāte haiñ kis vāste dīvāne

kyā shahr-e-mohabbat meñ hajjām nahīñ hotā

baal apne baDhate hain kis waste diwane

kya shahr-e-mohabbat mein hajjam nahin hota

Mushafi Ghulam Hamdani

bose apne āriz-e-gulfām ke

mujhe de de tire kis kaam ke

bose apne aariz-e-gulfam ke

la mujhe de de tere kis kaam ke

Muztar Khairabadi

shaiḳh apnī rag ko kyā kareñ reshe ko kyā kareñ

maz.hab ke jhagḌe chhoḌeñ to peshe ko kyā kareñ

shaiKH apni rag ko kya karen reshe ko kya karen

mazhab ke jhagDe chhoDen to peshe ko kya karen

Akbar Allahabadi

jab bhī vālid jafā yaad aa.ī

apne daadā ḳhatā yaad aa.ī

jab bhi walid ki jafa yaad aai

apne dada ki KHata yaad aai

Mohammad Yusuf Papa

āshiqī ho burā us ne bigāḌe saare kaam

ham to a.b meñ rahe aġhyār b.a ho ga.e

aashiqi ka ho bura us ne bigaDe sare kaam

hum to ab mein rahe aghyar ba ho gae

Akbar Allahabadi

hue is qadar mohazzab kabhī ghar muñh na dekhā

kaTī umr hoTaloñ meñ mare aspatāl kar

stayed away from home, on being so gentrified

spent ones life in hotels, in hospitals then died

hue is qadar mohazzab kabhi ghar ka munh na dekha

kaTi umr hoTalon mein mare aspatal ja kar

stayed away from home, on being so gentrified

spent ones life in hotels, in hospitals then died

Akbar Allahabadi

ta.alluq āshiq o māshūq to lutf rakhtā thā

maze ab vo kahāñ baaqī rahe biivī miyāñ ho kar

talluq aashiq o mashuq ka to lutf rakhta tha

maze ab wo kahan baqi rahe biwi miyan ho kar

Akbar Allahabadi

in ko kyā kaam hai muravvat se apnī ruḳh se ye muñh na moḌeñge

jaan shāyad farishte chhoḌ bhī deñ doctor fees ko na chhoḌeñge

in ko kya kaam hai murawwat se apni ruKH se ye munh na moDenge

jaan shayad farishte chhoD bhi den doctor fees ko na chhoDenge

Akbar Allahabadi

bole ki tujh ko diin islāh farz hai

maiñ chal diyā ye kah ke ki ādāb arz hai

bole ki tujh ko din ki islah farz hai

main chal diya ye kah ke ki aadab arz hai

Akbar Allahabadi

dinner se tum ko fursat kam yahāñ faaqe se kam ḳhālī

chalo bas ho chukā milnā na tum ḳhālī na ham ḳhālī

dinner se tum ko fursat kam yahan faqe se kam KHali

chalo bas ho chuka milna na tum KHali na hum KHali

Akbar Allahabadi

rahmān ke farishte go haiñ bahut muqaddas

shaitān jānib lekin majority hai

rahman ke farishte go hain bahut muqaddas

shaitan hi ki jaanib lekin majority hai

Akbar Allahabadi

ilm meñ jhīñgur se baḌh kar kāmrāñ koī nahīñ

chaaT jaatā hai kitābeñ imtihāñ koī nahīñ

ilm mein jhingur se baDh kar kaamran koi nahin

chaT jata hai kitaben imtihan koi nahin

Zareef Lakhnavi

mar.ūb ho ga.e haiñ vilāyat se shaiḳh-jī

ab sirf man.a karte haiñ desī sharāb ko

marub ho gae hain wilayat se shaiKH-ji

ab sirf mana karte hain desi sharab ko

Akbar Allahabadi

in ko kyā kaam hai muravvat se apnī ruḳh se ye muñh na moḌeñge

jaan shāyad farishte chhoḌ bhī deñ doctor fees ko na chhoḌeñge

in ko kya kaam hai murawwat se apni ruKH se ye munh na moDenge

jaan shayad farishte chhoD bhi den doctor fees ko na chhoDenge

Akbar Allahabadi

vāqif nahīñ ki paañv meñ paḌtī haiñ beḌiyāñ

dūlhe ko ye ḳhushī hai ki merī barāt hai

waqif nahin ki panw mein paDti hain beDiyan

dulhe ko ye KHushi hai ki meri baraat hai

Lala Madhav Ram Jauhar

college se aa rahī hai sadā paas paas

ohdoñ se aa rahī hai sadā duur duur

college se aa rahi hai sada pas pas ki

ohdon se aa rahi hai sada dur dur ki

Akbar Allahabadi

agar maz.hab ḳhalal-andāz hai mulkī maqāsid meñ

to shaiḳh o barhaman pinhāñ raheñ dair o masājid meñ

agar mazhab KHalal-andaz hai mulki maqasid mein

to shaiKH o barhaman pinhan rahen dair o masajid mein

Akbar Allahabadi

but-kade meñ shor hai 'akbar' musalmāñ ho gayā

be-vafāoñ se koī kah de ki haañ haañ ho gayā

but-kade mein shor hai 'akbar' musalman ho gaya

be-wafaon se koi kah de ki han han ho gaya

Akbar Allahabadi

ek kāfir par tabī.at aa ga.ī

pārsā.ī par bhī aafat aa ga.ī

ek kafir par tabiat aa gai

parsai par bhi aafat aa gai

Akbar Allahabadi

haqīqat ko chhupāyā ham se kyā kyā us ke make-up ne

jise lailā samajh baiThe the vo lailā maañ niklī

haqiqat ko chhupaya hum se kya kya us ke make-up ne

jise laila samajh baiThe the wo laila ki man nikli

Raghib Muradabadi

begam bhī haiñ khaḌī huī maidān-e-hashr meñ

mujh se mire gunah hisāb ai ḳhudā na maañg

begam bhi hain khaDi hui maidan-e-hashr mein

mujh se mere gunah ka hisab ai KHuda na mang

Hashim Azimabadi

public meñ zarā haath milā lījiye mujh se

sāhab mire īmān qīmat hai to ye hai

public mein zara hath mila lijiye mujh se

sahab mere iman ki qimat hai to ye hai

Akbar Allahabadi

us beTī ne uThā rakkhī hai duniyā sar par

ḳhairiyat guzrī ki añgūr ke beTā na huā

us ki beTi ne uTha rakkhi hai duniya sar par

KHairiyat guzri ki angur ke beTa na hua

Agah Dehlvi

ḳhilāf-e-shar.a kabhī shaiḳh thūktā bhī nahīñ

magar añdhere ujāle meñ chūktā bhī nahīñ

KHilaf-e-shara kabhi shaiKH thukta bhi nahin

magar andhere ujale mein chukta bhi nahin

Akbar Allahabadi

shaiḳh dāvat meñ mai kaam kyā

ehtiyātan kuchh mañgā jā.egī

shaiKH ki dawat mein mai ka kaam kya

ehtiyatan kuchh manga li jaegi

Akbar Allahabadi

butoñ ke pahle bande the misoñ ke ab hue ḳhādim

hameñ har ahd meñ mushkil rahā hai bā-ḳhudā honā

buton ke pahle bande the mison ke ab hue KHadim

hamein har ahd mein mushkil raha hai ba-KHuda hona

Akbar Allahabadi

hoñT shīrīniyāñ college meñ jab baTne lagīñ

chaar din ke chhokre karne lage farhādiyāñ

honT ki shiriniyan college mein jab baTne lagin

chaar din ke chhokre karne lage farhadiyan

Hashim Azimabadi

tumhāre va.az meñ tāsīr to hai hazrat-e-vā.iz

asar lekin nigāh-e-nāz bhī kam nahīñ hotā

tumhaare waz mein tasir to hai hazrat-e-waiz

asar lekin nigah-e-naz ka bhi kam nahin hota

Akbar Allahabadi

beTe ko cheque samajh liyā state-bank

samdhī talāsh karne lage high rank

beTe ko cheque samajh liya state-bank ka

samdhi talash karne lage high rank ka

Mustafa Ali Beg

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now