Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lorii

MORE BYSahir Ludhianvi

    raat aa ga.ii chaman ke nazaare bhii so ga.e

    nadiyaa ko nii.nd aa ga.ii dhaare bhii so ga.e

    niile gagan ke raaj-dulaare bhii so ga.e

    soyaa hu.aa hai chaa.nd sitaare bhii so ga.e

    nii.nde.n ghulii hu.ii hai.n nashiilii havaa.o.n me.n

    so jaa re laaDle mire aa.nchal kii chhaa.o.n me.n

    champaa bhii so ga.ii hai saliimaa bhii so ga.ii

    abbaa bhii mahv-e-KHvaab hai.n aapaa bhii so ga.ii

    gu.Diyaa kii chor kal.mu.ii azraa bhii so ga.ii

    le ab to terii nannhii bhii mainaa bhii so ga.ii

    kal phir sunaa.uu.ngii tujhe sachchii kahaaniyaa.n

    ruus aur chiin des ke logo.n kii daastaa.n

    jin kii vatan-parast javaa.n-saal la.Dkiyaa.n

    mardo.n se ba.Dh ke apne vatan kii hai.n paasbaa.n

    chup-chaap aur KHamosh hai har ek rahguzar

    panchhii bhii so rahe hai.n daraKHto.n pe be-KHabar

    ab der ho chukii hai mire laal zid na kar

    jaanaa hai madrase tujhe kal sub.h vaqt par

    kal sub.h jab mai.n paas ke baazaar jaa.uu.ngii

    'siraaj' aur 'Tiipuu' kii tasviir laa.uu.ngii

    aur un kii zindagii kii kahaanii sunaa.uu.ngii

    tujh ko bhii vaisii shaan se jiinaa sikhaa.uu.ngii

    phuulo.n kii shaahzaadiyaa.n baaGo.n kii raaniyaa.n

    jaa.e.ngii KHvaab me.n tire ham-raah gulsitaa.n

    aur Dhuu.nD kar tire liye laa.e.ngii titliyaa.n

    hai.n tere intizaar me.n KHvaabo.n kii vaadiyaa.n

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now