marsiya-e-sir-sayyad radif ye
arsh ke nuurī zamīñ ke farsh par aane ko haiñ
aur ik ḳhākī ko sair-e-ḳhuld dikhlāne ko haiñ
bāġh-e-jannat ko sidhārā sayyad-e-ālī-maqām
raah meñ us kī malā.ek nuur barsāne ko haiñ
vā.e-hasrat chal diyā duniyā se vo mahbūb-e-qaum
aur jo baaqī haiñ us ke hijr meñ jaane ko haiñ
sāqī-e-marhūm tere bāda-ḳhvāroñ ke liye
ḳhūn-e-dil piine ko aur laḳht-e-jigar khāne ko haiñ
gulshan-e-millat meñ ġhunchoñ ne abhī kholī thī aañkh
ek jhoñke se ḳhizāñ ke ab vo murjhāne ko haiñ
chhup gayā vo rū-e-raḳhshāñ mehr-e-ālam-tāb kā
ab shab-e-yaldā kī har-sū zulmateñ chhāne ko haiñ
ai shah-e-be-tāj vo mātam kī tere dhuum hai
tāj-dāroñ ke alam is ġham se jhuk jaane ko haiñ
dasht meñ duuñ lag rahī hai qais ke mātam meñ aaj
āhuvān-e-najd kī āñkhoñ meñ ashk aane ko haiñ
ek siine meñ thī sayyad ke taḌap islām kī
ham musalmāñ sab barā.e naam kahlāne ko haiñ
kārvān-e-qaum kā hañgāma tere dam se thā
ye na thā ma.alūm hazrat kuuch farmāne ko haiñ
bosa-gāh-e-qaum hogā tere sañg-e-āstāñ
naqsh-e-pā par tere lākhoñ qāfile aane ko haiñ
har zamāñ iiñ rahguzar rā kārvān-e-dīgar ast
kushtagān-e-ishq rā har laḳht jān-e-digar ast
haa.e vo ḳhurshīd-e-anvar chehra-e-tābāñ tirā
haa.e vo māh-e-munavvar āriz-e-raḳhshāñ tirā
vo nigāheñ jāñ-fazā aur vo adā.eñ dil-rubā
vo jabīn-e-dil-kushā vo dil-faroz unvāñ tirā
haa.e us rīsh-e-mubārak par vo bārish nuur kī
shām-e-pīrī meñ bayāz-e-sub.h nūr-afshāñ tirā
haa.e vo jān-e-basīrat terā nūrānī dimāġh
haa.e vo kān-e-mohabbat sīna-e-sozāñ tirā
vo tirī shān-e-jalālī vo tirā ro.ab-e-jamāl
paḌ ga.ī jis par nazar thā banda-e-farmāñ tirā
mehdī-o-mushtāq hamdam shiblī-o-hālī nadīm
aur zain-ul-ābdīñ ḳhāsā.ī-e-ḳhāsāñ tirā
bām-o-dar collage ke haiñ mātam meñ tere sar nigūñ
marsiyāñ-ḳhvāñ ban gayā har kāḳh-o-har-aivāñ tirā
dil se ḳhisht-o-sañg ke collage meñ uThtī hai sadā
kyā huā mīr-e-imārat ḳhāna-e-vīrāñ tirā
tā-jahāñ meñ hai tire naanā kī ummat ko baqā
qaum meñ mātam rahegā sayyad-ahmad-ḳhāñ tirā
banda-parvar vaqt-e-ruḳhsat yaad farmāyā na kyuuñ
nāzir-e-mahjūr thā vābasta-e-dāmāñ tirā
ai chaman pairā-e-millat tere shauq-e-dīd meñ
thā navā-sañj-e-fuġhāñ ye bulbul-e-bustāñ tirā
sar-ba-sahrā ab raheñge aah dīvāne tere
sham-e-turbat kā kareñge tauf parvāne tire
haa.e bazm-e-qaum meñ ab jalva farmā.egā kaun
maah ke mānind haale meñ nazar aa.egā kaun
ai masīhā qaum ke tujh bin izām-e-ḳhasta ko
qum-be-iznī kah ke ab jumbish meñ phir lā.egā kaun
dekh kar chitvan tirī uThte the dil meñ valvale
is nigāh-e-garm se ab dil ko garmā.egā kaun
thā tirā rū-e-munavvar ek najm-e-rahnumā
ab vo nūrānī fazā zulmat meñ dikhlā.egā kaun
us shuā-e-rūh-parvar se phir ai māh-e-munīr
dil ke dariyā meñ vo raqs-e-mauj dikhlā.egā kaun
ḳhāna-jañgī har taraf hai ma.ashar-e-islām meñ
haa.e tujh bin in ke ye uljhāo suljhā.egā kaun
dār-o-gīr-e-dahr misl-e-arsa-e-shatranj hai
yār-e-shātir ban ke is kī chaal batlā.egā kaun
ghuggiyoñ kā ruup bhar kar qaum kī stage par
mā namī ḳhvāhem nañg-o-nām rā gā.egā kaun
ruuTh kar jaatā hai sayyad aao leñ is ko manā
varna itnī mushkileñ āsān farmā.egā kaun
dafn karnā sahn meñ collage ke sir-sayyad kī laash
is ḳhalīlullāh se ka.abe ko chhuḌvā.egā kaun
yuuñ to lākhoñ ā.eñge is najd meñ aur jā.eñge
sayyad ahmad sā junūñ-sāmāñ magar aa.egā kaun
ai harīfāñ aañ qadah ba-shikast-o-āñ saaqī numānd
jur.a-e-juz ashk-e-ḳhūñ dar jām-e-mā baaqī numānd
sayyad-e-marhūm ummat kā bhalā kartā rahā
fikr-e-millat roz-o-shab sub.h-o-masā kartā rahā
jo falāh-e-qaum kī aa.ī samajh meñ us kī baat
barmalā kahtā rahā aur barmalā kartā rahā
thī use parvāh-e-tahsīñ aur na kuchh nafrīñ kā Dar
us ko jo karnā thā be-rū-o-riyā kartā rahā
nā-sazā suntā rahā aur marhabā kahtā rahā
kufr ke fatvoñ meñ kaam islām kā kartā rahā
gar hue nākāmiyoñ se hausle yāroñ ke past
himmat-e-ālī kā apnī iqtizā kartā rahā
qaum meñ phir taaza zauq-e-but-parastī dekh kar
ik nayā ka.aba aligarh meñ banā kartā rahā
ai ki collage ke ye qasr-o-ḳhāk-o-aivāñ dekhiye
kaam jo shāhoñ kā thā so ye gadā kartā rahā
us ne kī islām aur auhām-e-bātil meñ tamīz
zañg se ā.īna-e-dīñ kī jilā kartā rahā
kufr ke hamloñ meñ thā islām kī daa.im sipar
ālam-e-ummat ye kār-e-ambiyā kartā rahā
shāhid-e-urdu kī zulfoñ ke nikāle pech-o-ḳham
husn ke ġhamzoñ ko fitrat-āshnā kartā rahā
ye chalī thī ummat-e-marhūm sail-e-ġhadr meñ
maut ke tūfāñ meñ kār-e-nāḳhudā kartā rahā
zindagī sayyad kī thī qalb-e-tapāñ kī zindagī
thī jahāñ kī zindagī jān-e-jahāñ kī zindagī
chhup gayā vo mehr-e-tābāñ bazm-e-daurāñ chhoḌ kar
matl.a-e-ummīd kā tārīk unvāñ chhoḌ kar
fasl-e-gul meñ vo chalā bazm-e-gulistāñ chhoḌ kar
shāḳh saare aarzū ke gul-ba-dāmāñ chhoḌ kar
nāla-e-dil-doz sahn-e-bostāñ meñ sar kiyā
bulbulān-e-zār ne daras-e-gulistāñ chhoḌ kar
aa liyā sail-e-fanā ne kārvāñ sālār ko
qāfile ko dasht-e-hirmāñ meñ pareshāñ chhoḌ kar
pīr-e-kan.āñ kī judā.ī se jigar hai paash paash
go chalā hai misr meñ vo māh-e-kan.āñ chhoḌ kar
so gayā kunj-e-lahad meñ shāh-e-be-tāj-o-sarīr
bāġh-o-rāġh-o-bārgāh-o-qasr-o-aivāñ chhoḌ kar
faiz se tere rahī vābasta hāsil kī ummīd
tishna-lab kahtī na jaa.e abr-e-naisāñ chhoḌ kar
ye to batlā de ki hai kis kā sahārā qaum ko
ka.aba-e-dil qibla-e-jāñ terā dāmāñ chhoḌ kar
kaun hogā mard-e-maidāñ ab masāf-e-dahr kā
haath meñ kis ke chalā hai go vo chaugāñ chhoḌ kar
banda-parvar ye junūn-e-ishq ke shāyāñ na thā
sair-e-gulzār-e-iram ḳhār-e-muġhīlāñ chhoḌ kar
gāhe-gāhe qaum kī hālat pe bhī karnā nazar
sair-e-jannat chhoḌ kar gul-gasht-e-rizvāñ chhoḌ kar
is chaman meñ ruuh mañDlātī rahegī aap kī
jā.egī bulbul kahāñ bazm-e-gulistāñ chhoḌ kar
dār-e-fānī kī hai 'nāzir' garche faanī zindagī
kushtagān-e-ishq kī hai jāvedānī zindagī
arsh ke nuri zamin ke farsh par aane ko hain
aur ek KHaki ko sair-e-KHuld dikhlane ko hain
bagh-e-jannat ko sidhaara sayyad-e-ali-maqam
rah mein us ki malaek nur barsane ko hain
wae-hasrat chal diya duniya se wo mahbub-e-qaum
aur jo baqi hain us ke hijr mein jaane ko hain
saqi-e-marhum tere baada-KHwaron ke liye
KHun-e-dil pine ko aur laKHt-e-jigar khane ko hain
gulshan-e-millat mein ghunchon ne abhi kholi thi aankh
ek jhonke se KHizan ke ab wo murjhane ko hain
chhup gaya wo ru-e-raKHshan mehr-e-alam-tab ka
ab shab-e-yalda ki har-su zulmaten chhane ko hain
ai shah-e-be-taj wo matam ki tere dhum hai
taj-daron ke alam is gham se jhuk jaane ko hain
dasht mein dun lag rahi hai qais ke matam mein aaj
aahuwan-e-najd ki aankhon mein ashk aane ko hain
ek sine mein thi sayyad ke taDap islam ki
hum musalman sab barae nam kahlane ko hain
karwan-e-qaum ka hangama tere dam se tha
ye na tha malum hazrat kuch farmane ko hain
bosa-gah-e-qaum hoga tere sang-e-astan
naqsh-e-pa par tere lakhon qafile aane ko hain
har zaman in rahguzar ra karwan-e-digar ast
kushtagan-e-ishq ra har laKHt jaan-e-digar ast
hae wo KHurshid-e-anwar chehra-e-taban tera
hae wo mah-e-munawwar aariz-e-raKHshan tera
wo nigahen jaan-faza aur wo adaen dil-ruba
wo jabin-e-dil-kusha wo dil-faroz unwan tera
hae us rish-e-mubarak par wo barish nur ki
sham-e-piri mein bayaz-e-subh nur-afshan tera
hae wo jaan-e-basirat tera nurani dimagh
hae wo kan-e-mohabbat sina-e-sozan tera
wo teri shan-e-jalali wo tera roab-e-jamal
paD gai jis par nazar tha banda-e-farman tera
mehdi-o-mushtaq hamdam shibli-o-haali nadim
aur zain-ul-abdin KHasai-e-KHasan tera
baam-o-dar collage ke hain matam mein tere sar nigun
marsiyan-KHwan ban gaya har kaKH-o-har-aiwan tera
dil se KHisht-o-sang ke collage mein uThti hai sada
kya hua mir-e-imarat KHana-e-viran tera
ta-jahan mein hai tere nana ki ummat ko baqa
qaum mein matam rahega sayyad-ahmad-KHan tera
banda-parwar waqt-e-ruKHsat yaad farmaya na kyun
nazir-e-mahjur tha wabasta-e-daman tera
ai chaman paira-e-millat tere shauq-e-did mein
tha nawa-sanj-e-fughan ye bulbul-e-bustan tera
sar-ba-sahra ab rahenge aah diwane tere
sham-e-turbat ka karenge tauf parwane tere
hae bazm-e-qaum mein ab jalwa farmaega kaun
mah ke manind haale mein nazar aaega kaun
ai masiha qaum ke tujh bin izam-e-KHasta ko
qum-be-izni kah ke ab jumbish mein phir laega kaun
dekh kar chitwan teri uThte the dil mein walwale
is nigah-e-garm se ab dil ko garmaega kaun
tha tera ru-e-munawwar ek najm-e-rahnuma
ab wo nurani faza zulmat mein dikhlaega kaun
us shua-e-ruh-parwar se phir ai mah-e-munir
dil ke dariya mein wo raqs-e-mauj dikhlaega kaun
KHana-jangi har taraf hai mashar-e-islam mein
hae tujh bin in ke ye uljhao suljhaega kaun
dar-o-gir-e-dahr misl-e-arsa-e-shatranj hai
yar-e-shatir ban ke is ki chaal batlaega kaun
ghuggiyon ka rup bhar kar qaum ki stage par
ma nami KHwahem nang-o-nam ra gaega kaun
ruTh kar jata hai sayyad aao len is ko mana
warna itni mushkilen aasan farmaega kaun
dafn karna sahn mein collage ke sir-sayyad ki lash
is KHalilullah se kabe ko chhuDwaega kaun
yun to lakhon aaenge is najd mein aur jaenge
sayyad ahmad sa junun-saman magar aaega kaun
ai harifan aan qadah ba-shikast-o-an saqi numand
jura-e-juz ashk-e-KHun dar jam-e-ma baqi numand
sayyad-e-marhum ummat ka bhala karta raha
fikr-e-millat roz-o-shab subh-o-masa karta raha
jo falah-e-qaum ki aai samajh mein us ki baat
barmala kahta raha aur barmala karta raha
thi use parwah-e-tahsin aur na kuchh nafrin ka Dar
us ko jo karna tha be-ru-o-riya karta raha
na-saza sunta raha aur marhaba kahta raha
kufr ke fatwon mein kaam islam ka karta raha
gar hue nakaamiyon se hausle yaron ke past
himmat-e-ali ka apni iqtiza karta raha
qaum mein phir taza zauq-e-but-parasti dekh kar
ek naya kaba aligarh mein bana karta raha
ai ki collage ke ye qasr-o-KHak-o-aiwan dekhiye
kaam jo shahon ka tha so ye gada karta raha
us ne ki islam aur auham-e-baatil mein tamiz
zang se aaina-e-din ki jila karta raha
kufr ke hamlon mein tha islam ki daim sipar
aalam-e-ummat ye kar-e-ambiya karta raha
shahid-e-urdu ki zulfon ke nikale pech-o-KHam
husn ke ghamzon ko fitrat-ashna karta raha
ye chali thi ummat-e-marhum sail-e-ghadr mein
maut ke tufan mein kar-e-naKHuda karta raha
zindagi sayyad ki thi qalb-e-tapan ki zindagi
thi jahan ki zindagi jaan-e-jahan ki zindagi
chhup gaya wo mehr-e-taban bazm-e-dauran chhoD kar
matla-e-ummid ka tarik unwan chhoD kar
fasl-e-gul mein wo chala bazm-e-gulistan chhoD kar
shaKH sare aarzu ke gul-ba-daman chhoD kar
nala-e-dil-doz sahn-e-bostan mein sar kiya
bulbulan-e-zar ne daras-e-gulistan chhoD kar
aa liya sail-e-fana ne karwan salar ko
qafile ko dasht-e-hirman mein pareshan chhoD kar
pir-e-kanan ki judai se jigar hai pash pash
go chala hai misr mein wo mah-e-kanan chhoD kar
so gaya kunj-e-lahad mein shah-e-be-taj-o-sarir
bagh-o-ragh-o-bargah-o-qasr-o-aiwan chhoD kar
faiz se tere rahi wabasta hasil ki ummid
tishna-lab kahti na jae abr-e-naisan chhoD kar
ye to batla de ki hai kis ka sahaara qaum ko
kaba-e-dil qibla-e-jaan tera daman chhoD kar
kaun hoga mard-e-maidan ab masaf-e-dahr ka
hath mein kis ke chala hai go wo chaugan chhoD kar
banda-parwar ye junun-e-ishq ke shayan na tha
sair-e-gulzar-e-iram KHar-e-mughilan chhoD kar
gahe-gahe qaum ki haalat pe bhi karna nazar
sair-e-jannat chhoD kar gul-gasht-e-rizwan chhoD kar
is chaman mein ruh manDlati rahegi aap ki
jaegi bulbul kahan bazm-e-gulistan chhoD kar
dar-e-fani ki hai 'nazir' garche fani zindagi
kushtagan-e-ishq ki hai jawedani zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.