faqat chand nusḳhoñ kā hai vo safīna
chale aa.e haiñ jo ki sīna-ba-sīna
na un ko nabātāt se āgahī hai
na aslan ḳhabar ma.adiniyyāt kī hai
na tashrīh keī lai kisī par khulī hai
na ilm-e-tabī.ī na chemistry hai
na paanī kā ilm aur na ilm-e-havā hai
marīzoñ kā un ke nigahbāñ ḳhudā hai
na qānūn meñ un ke koī ḳhatā hai
na maḳhzan meñ añgusht rakhne keī jā hai
saidī meñ likkhā hai jo kuchh bajā hai
nafīsī ke har qaul par jaañ fidā hai
salaf likh ga.e jo qayās aur gumāñ se
sahīfe haiñ utre hue āsmāñ se
vo sher aur qasā.ed kā nāpāk daftar
ufūnat meñ sanDās se jo hai bad-tar
zamīñ jis se hai zalzale meñ barābar
malak jis se sharmāte haiñ āsmāñ par
huā ilm-o-dīñ jis se tārāj saarā
vo ilmoñ meñ ilm-e-adab hai hamārā
burā sher kahne keī gar kuchh sazā hai
abas jhuuT baknā agar nāravā hai
to vo mahkama jis kā qaazī ḳhudā hai
muqarrar jahāñ nek-o-bad keī sazā hai
gunahgār vaañ chhūT jā.eñge saare
jahannam ko bhar deñge shā.ir hamāre