aamadani aur KHarch
kirāya makāñ kā adā karne jā.ūñ
ki bazzāz o ḳhayyāt kā bil chukā.ūñ
davā lā.ūñ yā doctor ko bulā.ūñ
ki maiñ tex vāloñ se pīchhā chhuḌā.ūñ
ḳhudā-rā batāo kahāñ bhaag jā.ūñ
maiñ is DheḌh aane meñ kyā kyā banā.ūñ
bahut baḌh gayā hai makāñ kā kirāya
idhar nal ke āb-e-ravāñ kā kirāya
baqāyā hai 'barq-e-tapāñ' kā kirāya
zamīñ par hai ab āsmāñ kā kirāya
hai bachchoñ kī fees aur chanda zarūrī
kutub copiyoñ kā pulanda zarūrī
shikam-parvarī kā hai dhanda zarūrī
ye aadam kī ījād-e-banda zarūrī
balā ke masārif haiñ kyā taab lā.ūñ
maiñ is DheḌh aane meñ kyā kyā banā.ūñ
azīzoñ kī imdād mehmāñ-navāzī
ġharīboñ ko ḳhairāt ehsāñ-tarāzī
ḳhurāk aur poshāk meñ duniyā-sāzī
idhar film kā shauq aur udhar ishq-bāzī
zarūrī yahāñ cigarette aur paan bhī hai
adālat meñ jaane kā imkān bhī hai
hai bhañgī bhī dhobī bhī darbān bhī hai
aur ik saaḌī vaale kī dūkān bhī hai
kahāñ jā.ūñ kis kis se pīchhā chhuḌā.ūñ
maiñ is DheḌh aane meñ kyā kyā banā.ūñ
haiñ mele bhī islāmī tyauhār bhī haiñ
ham aise mavāqe pe ḳhuddār bhī haiñ
bahut ḳharch karne ko tayyār bhī haiñ
balā se jo be-barg-o-be-bār bhī haiñ
kise dāstān-e-masārif sunā.ūñ
maiñ is DheḌh aane meñ kyā kyā banā.ūñ
kiraya makan ka ada karne jaun
ki bazzaz o KHayyat ka bil chukaun
dawa laun ya doctor ko bulaun
ki main tex walon se pichha chhuDaun
KHuda-ra batao kahan bhag jaun
main is DheDh aane mein kya kya banaun
bahut baDh gaya hai makan ka kiraya
idhar nal ke aab-e-rawan ka kiraya
baqaya hai 'barq-e-tapan' ka kiraya
zamin par hai ab aasman ka kiraya
hai bachchon ki fees aur chanda zaruri
kutub copiyon ka pulanda zaruri
shikam-parwari ka hai dhanda zaruri
ye aadam ki ijad-e-banda zaruri
bala ke masarif hain kya tab laun
main is DheDh aane mein kya kya banaun
azizon ki imdad mehman-nawazi
gharibon ko KHairaat ehsan-taraazi
KHurak aur poshak mein duniya-sazi
idhar film ka shauq aur udhar ishq-bazi
zaruri yahan cigarette aur pan bhi hai
adalat mein jaane ka imkan bhi hai
hai bhangi bhi dhobi bhi darban bhi hai
aur ek saDi wale ki dukan bhi hai
kahan jaun kis kis se pichha chhuDaun
main is DheDh aane mein kya kya banaun
hain mele bhi islami tyauhaar bhi hain
hum aise mawaqe pe KHuddar bhi hain
bahut KHarch karne ko tayyar bhi hain
bala se jo be-barg-o-be-bar bhi hain
kise dastan-e-masarif sunaun
main is DheDh aane mein kya kya banaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.