āñkheñ nikal aa.ī haiñ mirī saañs rukī hai
jald aa ki tirī yaad galā ghūñT rahī hai
dāvat kī tirī bazm meñ kyuuñ dhuum machī hai
kyā baat hai kyā koī na.ī jeb kaTī hai
vaa.iz ko jo dekho to ghaTā-Top añdherā
saaqī ko jo dekho to kiran phuuT rahī hai
kyā hai jo nahīñ ye asar-e-rabt-e-mohabbat
ro.e to haiñ vo aur mirī āvāz paḌī hai
saa.e kī tamannā meñ jahāñ baiTh gayā huuñ
chañdiyā pe vahīñ taak ke dīvār girī hai
chhūTe nahīñ chhuTtī hai tire vasl kī hasrat
ye joñk mire dil kā lahū chuus rahī hai
vo un kā zamāna thā jahāñ aql baḌī thī
ye merā zamāna hai yahāñ bhaiñs baḌī hai
phir kyā hai jo 'māchis' nahīñ ye soz-e-mohabbat
ik barq sī rag rag meñ mire kauñd rahī hai
aankhen nikal aai hain meri sans ruki hai
jald aa ki teri yaad gala ghunT rahi hai
dawat ki teri bazm mein kyun dhum machi hai
kya baat hai kya koi nai jeb kaTi hai
waiz ko jo dekho to ghaTa-Top andhera
saqi ko jo dekho to kiran phuT rahi hai
kya hai jo nahin ye asar-e-rabt-e-mohabbat
roe to hain wo aur meri aawaz paDi hai
sae ki tamanna mein jahan baiTh gaya hun
chandiya pe wahin tak ke diwar giri hai
chhuTe nahin chhuTti hai tere wasl ki hasrat
ye jonk mere dil ka lahu chus rahi hai
wo un ka zamana tha jahan aql baDi thi
ye mera zamana hai yahan bhains baDi hai
phir kya hai jo 'machis' nahin ye soz-e-mohabbat
ek barq si rag rag mein mere kaund rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.