agar hum un ke chakkar mein na yun aate to achchha tha
agar hum un ke chakkar mein na yun aate to achchha tha
Masroor Shahjahanpuri
MORE BYMasroor Shahjahanpuri
agar ham un ke chakkar meñ na yuuñ aate to achchhā thā
kuñvāre zindagī bhar rah ke mar jaate to achchhā thā
muqaddar meñ likhā thā ham jo un se jā ke Takrā.e
kisī patthar se apne sar ko Takrāte to achchhā thā
ga.e the bālTī bharne pe un se ishq kar baiThe
ghaḌe apne kisī masjid se bhar laate to achchhā thā
musībat ban gayā ghoḌī pe sahrā bāñdh kar chaḌhnā
ḳhushī se ham agar suulī pe chaḌh jaate to achchhā thā
raqīboñ ne hamārī ḳhāna-ābādī meñ shirkat kī
usī mauqa pe ye kambaḳht aḌ jaate to achchhā thā
vahī shādī kā laDDū khā ke pachhtānā paḌā ham ko
takalluf vāqa.ī us vaqt farmāte to achchhā thā
kahāñ hai tāb-o-tāqat jis pe tum ko naaz rahtā thā
javānī par na tum 'masrūr' itrāte to achchhā thā
agar hum un ke chakkar mein na yun aate to achchha tha
kunware zindagi bhar rah ke mar jate to achchha tha
muqaddar mein likha tha hum jo un se ja ke Takrae
kisi patthar se apne sar ko Takraate to achchha tha
gae the baalTi bharne pe un se ishq kar baiThe
ghaDe apne kisi masjid se bhar late to achchha tha
musibat ban gaya ghoDi pe sahra bandh kar chaDhna
KHushi se hum agar suli pe chaDh jate to achchha tha
raqibon ne hamari KHana-abaadi mein shirkat ki
usi mauqa pe ye kambaKHt aD jate to achchha tha
wahi shadi ka laDDu kha ke pachhtana paDa hum ko
takalluf waqai us waqt farmate to achchha tha
kahan hai tab-o-taqat jis pe tum ko naz rahta tha
jawani par na tum 'masrur' itraate to achchha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.