allama-iqbaal ko shikwa
kisī se ḳhvāb meñ 'iqbāl' ne ye farmāyā
ki tū ne kar diyā barbād merā sarmāya
mirā kalām gavayyoñ ko sauñpne vaale
nazar na aa.e tujhe mere qalb ke chhāle
maiñ chāhtā thā musalmān muttahid ho jaa.eñ
ye kab kahā thā ki ham bahr-e-munjamid ho jaa.eñ
mirī ye shaan ki dariyā bhī thā mirā muhtāj
tirā ye haal ki mulkoñ se māñgtā hai ḳhirāj
kahā thā maiñ ne ġharībī meñ naam paidā kar
ye kab kahā thā ki māl-e-harām paidā kar
mirā tarīq amīrī nahīñ faqīrī hai
tirī ḳhurāk chapātī nahīñ ḳhamīrī hai
ilaaj ātish-e-rūmī ke soz meñ hai tirā
ḳhayāl shabnam o zebā ke pose meñ hai tirā
mire kalām se tujh ko sabaq zarā na milā
kahāñ kī rāh-e-haram ghar kā rāsta na milā
ḳhudī buland ho be-shak yahī thī merī raa.e
ye kab kahā thā ki qavvāl is meñ haath lagā.e
kisi se KHwab mein 'iqbaal' ne ye farmaya
ki tu ne kar diya barbaad mera sarmaya
mera kalam gawayyon ko saunpne wale
nazar na aae tujhe mere qalb ke chhaale
main chahta tha musalman muttahid ho jaen
ye kab kaha tha ki hum bahr-e-munjamid ho jaen
meri ye shan ki dariya bhi tha mera muhtaj
tera ye haal ki mulkon se mangta hai KHiraj
kaha tha main ne gharibi mein nam paida kar
ye kab kaha tha ki mal-e-haram paida kar
mera tariq amiri nahin faqiri hai
teri KHurak chapati nahin KHamiri hai
ilaj aatish-e-rumi ke soz mein hai tera
KHayal shabnam o zeba ke pose mein hai tera
mere kalam se tujh ko sabaq zara na mila
kahan ki rah-e-haram ghar ka rasta na mila
KHudi buland ho be-shak yahi thi meri rae
ye kab kaha tha ki qawwal is mein hath lagae
- Book : Kulliyat Dilawar Figar (Pg. 198)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.