ata jo mujhko zara sa KHizab ho jae
'atā jo mujh ko zarā sā ḳhizāb ho jaa.e
palaT ke merī za'īfī shabāb ho jaa.e
jo jinsiyāt sharīk-e-nisāb ho jaa.e
har ek boyfriend kāmyāb ho jaa.e
ḳhudā-na-ḳhvāsta vo be-naqāb ho jaa.e
to zindagānī hamārī 'azāb ho jaa.e
vo mast-e-ḳhvāb jo mast-e-sharāb ho jaa.e
duā-e-vasl mirī mustajāb ho jaa.e
'adū se aap zarā soch kar milā kījiye
kahīñ na jal ke mirā dil kabāb ho jaa.e
karo na itnā takabbur jamāl par apne
malogī haath jo ruḳhsat shabāb ho jaa.e
jo ek baar bhī tum ḳhvāb meñ nazar aao
tamām 'umr vo mahrūm-e-ḳhvāb ho jaa.e
milegī seat election meñ aap ko ik din
agar ye chamcha-garī kāmyāb ho jaa.e
machā.e dhuum har ik mahfil-e-suḳhan meñ 'rahīm'
kalām aisā agar dastyāb ho jaa.e
'ata jo mujh ko zara sa KHizab ho jae
palaT ke meri za'ifi shabab ho jae
jo jinsiyat sharik-e-nisab ho jae
har ek boyfriend kaamyab ho jae
KHuda-na-KHwasta wo be-naqab ho jae
to zindagani hamari 'azab ho jae
wo mast-e-KHwab jo mast-e-sharab ho jae
dua-e-wasl meri mustajab ho jae
'adu se aap zara soch kar mila kijiye
kahin na jal ke mera dil kabab ho jae
karo na itna takabbur jamal par apne
malogi hath jo ruKHsat shabab ho jae
jo ek bar bhi tum KHwab mein nazar aao
tamam 'umr wo mahrum-e-KHwab ho jae
milegi seat election mein aap ko ek din
agar ye chamcha-gari kaamyab ho jae
machae dhum har ek mahfil-e-suKHan mein 'rahim'
kalam aisa agar dastyab ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.