Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut zoron pe w-c-r tha kal shab jahan main tha

Bedil Jaunpuri

bahut zoron pe w-c-r tha kal shab jahan main tha

Bedil Jaunpuri

MORE BYBedil Jaunpuri

    bahut zoroñ pe v-c-r thā kal shab jahāñ maiñ thā

    har ik nāzir baḌā bedār thā kal shab jahāñ maiñ thā

    siyah zulf-e-pareshāñ ke evaz shāne pe choTī thī

    sitāra thā magar dum-dār thā kal shab jahāñ maiñ thā

    añdherā añdherā chhā gayā hai load-sheDDing se

    na jaane kis taraf ko yaar thā kal shab jahāñ maiñ thā

    baḌe armān se niklā thā shopping ke liye ghar se

    closing pe har ik bāzār thā kal shab jahāñ maiñ thā

    zabardastī maiñ qaa.el na thā vāpas chalā aayā

    ki us ke hoñT par inkār thā kal shab jahāñ maiñ thā

    aḌan.chū thā sag-e-māshūq 'be-dil' apnī duty se

    na pahra thā na pahre-dār thā kal shab jahāñ maiñ thā

    bahut zoron pe w-c-r tha kal shab jahan main tha

    har ek nazir baDa bedar tha kal shab jahan main tha

    siyah zulf-e-pareshan ke ewaz shane pe choTi thi

    sitara tha magar dum-dar tha kal shab jahan main tha

    andhera hi andhera chha gaya hai load-sheDDing se

    na jaane kis taraf ko yar tha kal shab jahan main tha

    baDe arman se nikla tha shopping ke liye ghar se

    closing pe har ek bazar tha kal shab jahan main tha

    zabardasti ka main qael na tha wapas chala aaya

    ki us ke honT par inkar tha kal shab jahan main tha

    aDanchu tha sag-e-mashuq 'be-dil' apni duty se

    na pahra tha na pahre-dar tha kal shab jahan main tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now