barq-e-kalisa
raat us mis se kalīsā meñ huā maiñ do-chār
haa.e vo husn vo shoḳhī vo nazākat vo ubhār
zulf-e-pechāñ meñ vo saj-dhaj ki balā.eñ bhī murīd
qadar-e-ra.anā meñ vo cham-ḳham ki qayāmat bhī shahīd
āñkheñ vo fitna-e-daurāñ ki gunahgār kareñ
gaal vo sub.h-e-daraḳhshāñ ki malak pyaar kareñ
garm taqrīr jise sunñe ko sho'la lapke
dil-kash āvāz ki sun kar jise bulbul jhapke
dilkashī chaal meñ aisī ki sitāre ruk jaa.eñ
sar-kashī naaz meñ aisī ki governor jhuk jaa.eñ
ātish-e-husn se taqve ko jalāne vaalī
bijliyāñ lutf-e-tabassum se girāne vaalī
pahlū-e-husn-e-bayāñ shoḳhī-e-taqrīr meñ ġharq
turkī o misr o filistīn ke hālāt meñ barq
pis gayā luuT gayā dil meñ sakat hī na rahī
sur the tamkīn ke jis gat meñ vo gat hī na rahī
zabt ke 'azm kā us vaqt asar kuchh na huā
yā-hafīzo kā kiyā vird magar kuchh na huā
arz kī maiñ ne ki ai gulshan-e-fitrat kī bahār
daulat o 'izzat o īmāñ tire qadmoñ pe nisār
tū agar 'ahd-e-vafā bāñdh ke merī ho jaa.e
saarī duniyā se mire qalb ko serī ho jaa.e
shauq ke josh meñ maiñ ne jo zabāñ yuuñ kholī
nāz-o-andāz se tevar ko chaḌhā kar bolī
ġhair-mumkin hai mujhe uns musalmānoñ se
bū-e-ḳhūñ aatī hai is qaum ke insānoñ se
lan-tarānī kī ye lete haiñ namāzī ban kar
hamle sarhad pe kiyā karte haiñ ġhāzī ban kar
koī bantā hai jo mehdī to bigaḌ jaate haiñ
aag meñ kūdte haiñ top se laḌ jaate haiñ
gul khilā.e koī maidāñ meñ to itrā jaa.eñ
paa.eñ sāmān-e-iqāmat to qayāmat Dhā.eñ
mutma.in ho koī kyūñ-kar ki ye haiñ nek-nihād
hai hanūz un kī ragoñ meñ asar-e-hukm-e-jihād
dushman-e-sbar kī nazroñ meñ lagāvaT aa.ī
kāmyābī kī dil-e-zār ne aahaT paa.ī
'arz kī maiñ ne ki ai lazzat-e-jāñ rāhat-e-rūh
ab zamāne pe nahīñ hai asar-e-ādam-o-nūh
shajar-e-tūr kā is baaġh meñ paudā hī nahīñ
gesū-e-hūr kā is daur meñ saudā hī nahīñ
ab kahāñ zehn meñ baaqī haiñ burrāq-o-rafraf
TikTikī bañdh ga.ī hai qaum kī engine kī taraf
ham meñ baaqī nahīñ ab ḳhālid-e-jāñ-bāz kā rang
dil pe ġhālib hai faqat hafiz-e-shīrāz kā rang
yaañ na vo nā'ra-e-takbīr na vo josh-e-sipāh
sab ke sab aap hī paḌhte raheñ sub.hān-allāh
jauhar-e-teġh-e-mujāhid tire abrū pe nisār
nuur īmāñ kā tire ā.īna-e-rū pe nisār
uTh ga.ī safha-e-ḳhātir se vo bahs-e-bad-o-nek
do dile ho rahe haiñ kahte haiñ allāh ko ek
mauj kausar kī kahāñ ab hai mire baaġh ke gird
maiñ to tahzīb meñ huuñ pīr-e-muġhāñ kā shāgird
mujh pe kuchh vaj.h-e-itāb aap ko ai jaan nahīñ
naam hī naam hai varna maiñ musalmān nahīñ
jab kahā saaf ye maiñ ne ki jo ho sāhab-e-fahm
to nikālo dil-e-nāzuk se ye shub.h ye vahm
mere islām ko ik qissa-e-māzī samjho
hañs ke bolī ki to phir mujh ko bhī raazī samjho
Lightning in Church
Last night I ran into a ‘Miss' at church-
What beauty! What vivaciousness! What daintiness! What curves!
Her curly coiffure was so styled, that even calamities would be
ensnared
Her graceful frame had such majesty, that even doomsday would be
slain
Her eyes, the supreme mischief of Time, enough to make everyone
sinful
Her cheeks, like a luminous morning that angels would love to kiss
Her gait was so charming that stars would stop in admiration
Her walk was so arrogant that rulers would feel humble
Adept at captivating conversation, aspects of beautiful speech
Totally absorbed in the affairs of Turkey, Egypt, and Palestine
My resolution at self-control had no effect at all
I called upon God the Protector, but that had no effect at all.
I petitioned, 'O Spring of nature's garden
Wealth and honour and faith I sacrifice at your feet,
If you tie the knot of fidelity and become truly mine
My heart would desire nothing else in this world.'
When in my eager desire I spoke thus
She disdainfully raised her brows and said,
'It's impossible for me to be fond of Muslims
The heroic tales of this race reek of blood,
Let just someone claim to be Mahdi and they run wild
They readily jump into fires for him and are not scared even of cannons!'
I glimpsed a bit of reciprocation in the eye of that enemy of my patience
My wounded heart heard the faint footfalls of success:
I petitioned, 'O flavor of my life, comfort of my soul
Times have changed; there's nothing left from the stories of Adam
and Noah
This garden doesn't have even a sapling of the Tree of Sinai
No one now is crazed after the tresses of the houris of paradise
There's nothing left in us of Ghalib, that life sacrificing soldier of God
My heart is now saturated with nothing but the love poems of Hafiz;
Consider my Islam a story of the past.'
She laughed and said, 'I then give my consent.'
raat us mis se kalisa mein hua main do-chaar
hae wo husn wo shoKHi wo nazakat wo ubhaar
zulf-e-pechan mein wo saj-dhaj ki balaen bhi murid
qadar-e-rana mein wo cham-KHam ki qayamat bhi shahid
aankhen wo fitna-e-dauran ki gunahgar karen
gal wo subh-e-daraKHshan ki malak pyar karen
garm taqrir jise sunne ko sho'la lapke
dil-kash aawaz ki sun kar jise bulbul jhapke
dilkashi chaal mein aisi ki sitare ruk jaen
sar-kashi naz mein aisi ki gowernor jhuk jaen
aatish-e-husn se taqwe ko jalane wali
bijliyan lutf-e-tabassum se girane wali
pahlu-e-husn-e-bayan shoKHi-e-taqrir mein gharq
turki o misr o filistin ke haalat mein barq
pis gaya luT gaya dil mein sakat hi na rahi
sur the tamkin ke jis gat mein wo gat hi na rahi
zabt ke 'azm ka us waqt asar kuchh na hua
ya-hafizo ka kiya wird magar kuchh na hua
arz ki main ne ki ai gulshan-e-fitrat ki bahaar
daulat o 'izzat o iman tere qadmon pe nisar
tu agar 'ahd-e-wafa bandh ke meri ho jae
sari duniya se mere qalb ko seri ho jae
shauq ke josh mein main ne jo zaban yun kholi
naz-o-andaz se tewar ko chaDha kar boli
ghair-mumkin hai mujhe uns musalmanon se
bu-e-KHun aati hai is qaum ke insanon se
lan-tarani ki ye lete hain namazi ban kar
hamle sarhad pe kiya karte hain ghazi ban kar
koi banta hai jo mehdi to bigaD jate hain
aag mein kudte hain top se laD jate hain
gul khilae koi maidan mein to itra jaen
paen saman-e-iqamat to qayamat Dhaen
mutmain ho koi kyun-kar ki ye hain nek-nihad
hai hanuz un ki ragon mein asar-e-hukm-e-jihad
dushman-e-sbar ki nazron mein lagawaT aai
kaamyabi ki dil-e-zar ne aahaT pai
'arz ki main ne ki ai lazzat-e-jaan rahat-e-ruh
ab zamane pe nahin hai asar-e-adam-o-nuh
shajar-e-tur ka is bagh mein pauda hi nahin
gesu-e-hur ka is daur mein sauda hi nahin
ab kahan zehn mein baqi hain burraq-o-rafraf
TikTiki bandh gai hai qaum ki engine ki taraf
hum mein baqi nahin ab KHalid-e-jaan-baz ka rang
dil pe ghaalib hai faqat hafiz-e-shiraaz ka rang
yan na wo na'ra-e-takbir na wo josh-e-sipah
sab ke sab aap hi paDhte rahen subhan-allah
jauhar-e-tegh-e-mujahid tere abru pe nisar
nur iman ka tere aaina-e-ru pe nisar
uTh gai safha-e-KHatir se wo bahs-e-bad-o-nek
do dile ho rahe hain kahte hain allah ko ek
mauj kausar ki kahan ab hai mere bagh ke gird
main to tahzib mein hun pir-e-mughan ka shagird
mujh pe kuchh wajh-e-itab aap ko ai jaan nahin
nam hi nam hai warna main musalman nahin
jab kaha saf ye main ne ki jo ho sahab-e-fahm
to nikalo dil-e-nazuk se ye shubh ye wahm
mere islam ko ek qissa-e-mazi samjho
hans ke boli ki to phir mujh ko bhi raazi samjho
Lightning in Church
Last night I ran into a ‘Miss' at church-
What beauty! What vivaciousness! What daintiness! What curves!
Her curly coiffure was so styled, that even calamities would be
ensnared
Her graceful frame had such majesty, that even doomsday would be
slain
Her eyes, the supreme mischief of Time, enough to make everyone
sinful
Her cheeks, like a luminous morning that angels would love to kiss
Her gait was so charming that stars would stop in admiration
Her walk was so arrogant that rulers would feel humble
Adept at captivating conversation, aspects of beautiful speech
Totally absorbed in the affairs of Turkey, Egypt, and Palestine
My resolution at self-control had no effect at all
I called upon God the Protector, but that had no effect at all.
I petitioned, 'O Spring of nature's garden
Wealth and honour and faith I sacrifice at your feet,
If you tie the knot of fidelity and become truly mine
My heart would desire nothing else in this world.'
When in my eager desire I spoke thus
She disdainfully raised her brows and said,
'It's impossible for me to be fond of Muslims
The heroic tales of this race reek of blood,
Let just someone claim to be Mahdi and they run wild
They readily jump into fires for him and are not scared even of cannons!'
I glimpsed a bit of reciprocation in the eye of that enemy of my patience
My wounded heart heard the faint footfalls of success:
I petitioned, 'O flavor of my life, comfort of my soul
Times have changed; there's nothing left from the stories of Adam
and Noah
This garden doesn't have even a sapling of the Tree of Sinai
No one now is crazed after the tresses of the houris of paradise
There's nothing left in us of Ghalib, that life sacrificing soldier of God
My heart is now saturated with nothing but the love poems of Hafiz;
Consider my Islam a story of the past.'
She laughed and said, 'I then give my consent.'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.