be-usuli usul hai pyare
be-usūlī usuul hai pyāre
ye tirī kyā hī bhuul hai pyāre
kis zabāñ se karūñ ye arz ki tū
parle darje kā fool hai pyāre
vaah ye terā zarq-barq libās
goyā hāthī kī jhuul hai pyāre
tū vo gul hai ki jis meñ bū hī nahīñ
tū to gobhī kā phuul hai pyāre
mujh ko bulvaiyo dinner ke ba.ad
arz meñ merī tuul hai pyāre
kyā milā tū jo dil se dil na milā
Thiik baiThe to chuul hai pyāre
be-usuli usul hai pyare
ye teri kya hi bhul hai pyare
kis zaban se karun ye arz ki tu
parle darje ka fool hai pyare
wah ye tera zarq-barq libas
goya hathi ki jhul hai pyare
tu wo gul hai ki jis mein bu hi nahin
tu to gobhi ka phul hai pyare
mujh ko bulwaiyo dinner ke baad
arz mein meri tul hai pyare
kya mila tu jo dil se dil na mila
Thik baiThe to chul hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.