begmati bonsaron ko be-asar usne kiya
begmātī bounceroñ ko be-asar us ne kiyā
ek helmet oḌh kar mahfūz sar us ne kiyā
ye to us muuzī ke baa.eñ haath kā hī khel hai
ḳhair ko apnī salāhiyyat se shar us ne kiyā
mere jazboñ kī dhanak ko us kī dīmak lag ga.ī
maiñ baḌā rangīn thā par Discolour us ne kiyā
bār-bardārī meñ uljhā hai vo shauhar rāt-din
achchhe ḳhāse aadmī ko jānvar us ne kiyā
begmati bounceron ko be-asar us ne kiya
ek helmet oDh kar mahfuz sar us ne kiya
ye to us muzi ke baen hath ka hi khel hai
KHair ko apni salahiyyat se shar us ne kiya
mere jazbon ki dhanak ko us ki dimak lag gai
main baDa rangin tha par Discolour us ne kiya
bar-bardari mein uljha hai wo shauhar raat-din
achchhe KHase aadmi ko jaanwar us ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.