beTa biswin sadi ka
beTe ko pahle kahte the āñkhoñ kā nuur hai
lekin ye ab hamārī nazar kā qusūr hai
kuchh dil se ehtirām nahīñ vāldain kā
bezār apne diin se maz.hab se duur hai
collage to darkinār jo haiñ diinī madrase
ādāb-e-maġhribī kā yahāñ bhī zuhūr hai
kuchh maqsad-e-hayāt na ḳhauf-e-ḳhudā use
jannat kī aarzū hai na mushtāq-e-hūr hai
b-a meñ paḌh rahā hai ye knowledge kā haal hai
naqshe meñ lucknow ko kahe kanpur hai
beTe meñ chāhe laakh ḳharābī ho 'muḳhtasar'
shādī ke vaqt bā.is-e-income zarūr hai
beTe ko pahle kahte the aankhon ka nur hai
lekin ye ab hamari nazar ka qusur hai
kuchh dil se ehtiram nahin waldain ka
bezar apne din se mazhab se dur hai
collage to darkinar jo hain dini madrase
aadab-e-maghribi ka yahan bhi zuhur hai
kuchh maqsad-e-hayat na KHauf-e-KHuda use
jannat ki aarzu hai na mushtaq-e-hur hai
b-a mein paDh raha hai ye knowledge ka haal hai
naqshe mein lucknow ko kahe kanpur hai
beTe mein chahe lakh KHarabi ho 'muKHtasar'
shadi ke waqt bais-e-income zarur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.