ham-navā kaun sī ummīd pe ḳhāmosh rahūñ
kis liye shāhid-e-b-T kī maiñ pā-posh rahūñ
chiiz kyā hai sag-e-college ki maiñ ḳhargosh rahūñ
kyuuñ zayāñ-kār bannūñ sūd-farāmosh rahūñ
aaj maiñ b-T liye dast-o-girebāñ hūñgā
nāsehā paas na aanā ki maiñ nādāñ hūñgā
maiñ to samjhā thā ki B-T hai koī kār-e-savāb
dekhī andar se magar aa ke jo ye ḳhāna-ḳharāb
mujh ko mahsūs huā ye to hai godām azaab
jis meñ maiñ jhoñkā gayā aisā ki juuñ pā-ba-jarāb
dil-e-insāñ kī nazākat ise malhūz nahīñ
haañ sharīfoñ kī sharāfat bhī to mahfūz nahīñ
zulm-e-B-T se ḳhudā jāntā hai chuur haiñ ham
jo ki kīkar pe chaḌhāyā thā vo añgūr haiñ ham
''qissa-e-dard sunāte haiñ ki majbūr haiñ ham''
jin ko samjhe ho khilaune vo ham insān nahīñ
rab ke bande haiñ koī sāḳhta-jāpān nahīñ
B-T kyā hai ye faqat bandoñ kā haivāñ honā
aur makrūh sī kuchh Tāñgoñ kā uryāñ honā
Lean ke hukm pe ġham khānā pareshāñ honā
ham se be-hūdgī har roz ye farmāte haiñ
sub.h bhī shaam bhī jab chāheñ ye karvāte haiñ
maz.hab-e-B-T meñ kyā nāġha harām hotā hai
sar pe har sub.h ye kyuuñ raunakī-rām hotā hai
bhūltā hai na use ghar kā hī kaam hotā hai
na buḳhār aatā hai us ko na zukām hotā hai
are twitter ye ḳhudā hai to sifārish kar de
gar ye kam-baḳht nahīñ Taltā to bārish kar de
hostel kyā hai tavelā sā banā rakkhā hai
aur vo samjhe haiñ ki firdaus sajā rakkhā hai
baañs par us ko bilā-vaj.h chaḌhā rakkhā hai
dekho darvāze pe rizvāñ jo biThā rakkhā hai
dekheñ DevḌhī pe to mehmān vahī Talte haiñ
is se aage to farishtoñ ke bhī par jalte haiñ
ye bhī pābandī-e-mehmāñ meñ ḳhatā-vār nahīñ
kyūñki hālāt-e-darūñ qābil iz.hār nahīñ
yaañ giraftār-e-balā haiñ jo gunahgār nahīñ
aisī jannat kā to dozaḳh bhī ḳharīdār nahīñ
hostel terī haqīqat ko ga.e haiñ ham pāñch
inDimāñ vāloñ ne lahore meñ kholī hai branch
chhuTTī darkār ho gar tum ko ayādat ke liye
māh-bhar pahle se do arzī ijāzat ke liye
pesh-goī karo nā-dīda musībat ke liye
goyā paiġhambarī darkār hai ruḳhsat ke liye
izrā.īl aake hameñ apnā programme batā
jin buzurgoñ pe tirī aañkh hai vo naam batā
ai ḳhudā ham bhī the mānūs kabhī ishrat se
ab haiñ mahrūm training meñ tirī rahmat se
bach nahīñ sakte kabhī raat kī is kulfat se
din ko paḌh paḌh ke fanā ho ga.e ik muddat se
dard-e-sar hai ki flue hai ki tap-e-khāñsī hai
umr-bhar qaidī kā anjām yahāñ phāñsī hai
ham-nawa kaun si ummid pe KHamosh rahun
kis liye shahid-e-b-T ki main pa-posh rahun
chiz kya hai sag-e-college ki main KHargosh rahun
kyun zayan-kar bannun sud-faramosh rahun
aaj main b-T liye dast-o-gireban hunga
naseha pas na aana ki main nadan hunga
main to samjha tha ki B-T hai koi kar-e-sawab
dekhi andar se magar aa ke jo ye KHana-KHarab
mujh ko mahsus hua ye to hai godam azab
jis mein main jhonka gaya aisa ki jun pa-ba-jarab
dil-e-insan ki nazakat ise malhuz nahin
han sharifon ki sharafat bhi to mahfuz nahin
zulm-e-B-T se KHuda jaanta hai chur hain hum
jo ki kikar pe chaDhaya tha wo angur hain hum
qissa-e-dard sunate hain ki majbur hain ham
jin ko samjhe ho khilaune wo hum insan nahin
rab ke bande hain koi saKHta-japan nahin
B-T kya hai ye faqat bandon ka haiwan hona
aur makruh si kuchh Tangon ka uryan hona
Lean ke hukm pe gham khana pareshan hona
hum se be-hudgi har roz ye farmate hain
subh bhi sham bhi jab chahen ye karwate hain
mazhab-e-B-T mein kya nagha haram hota hai
sar pe har subh ye kyun raunaki-ram hota hai
bhulta hai na use ghar ka hi kaam hota hai
na buKHar aata hai us ko na zukaam hota hai
are twitter ye KHuda hai to sifarish kar de
gar ye kam-baKHt nahin Talta to barish kar de
hostel kya hai tawela sa bana rakkha hai
aur wo samjhe hain ki firdaus saja rakkha hai
bans par us ko bila-wajh chaDha rakkha hai
dekho darwaze pe rizwan jo biTha rakkha hai
dekhen DewDhi pe to mehman wahi Talte hain
is se aage to farishton ke bhi par jalte hain
ye bhi pabandi-e-mehman mein KHata-war nahin
kyunki haalat-e-darun qabil izhaar nahin
yan giraftar-e-bala hain jo gunahgar nahin
aisi jannat ka to dozaKH bhi KHaridar nahin
hostel teri haqiqat ko gae hain hum panch
inDiman walon ne lahore mein kholi hai branch
chhuTTi darkar ho gar tum ko ayaadat ke liye
mah-bhar pahle se do arzi ijazat ke liye
pesh-goi karo na-dida musibat ke liye
goya paighambari darkar hai ruKHsat ke liye
izrail aake hamein apna programme bata
jin buzurgon pe teri aankh hai wo nam bata
ai KHuda hum bhi the manus kabhi ishrat se
ab hain mahrum training mein teri rahmat se
bach nahin sakte kabhi raat ki is kulfat se
din ko paDh paDh ke fana ho gae ek muddat se
dard-e-sar hai ki flue hai ki tap-e-khansi hai
umr-bhar qaidi ka anjam yahan phansi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.