buton se ishq gar be-mal-o-zar hoga to kya hoga
butoñ se ishq gar be-māl-o-zar hogā to kyā hogā
phaTīchar kī mohabbat kā asar hogā to kyā hogā
agar darpesh tūfānī safar hogā to kyā hogā
aur aage aage buddhū rāhbar hogā to kyā hogā
karūñ to arz-e-matlab un se lekin Dar ye lagtā hai
agar hogā to kyā hogā magar hogā to kyā hogā
abhī to hazrat-e-vā.iz mazammat mai kī karte haiñ
agar mai-ḳhāne meñ un kā guzar hogā to kyā hogā
tavāf-e-ka.aba par jis roz hoñge shaiḳh āmāda
usī din un kā girje meñ dinner hogā to kyā hogā
abas ai dost hañste ho kisī kī chashm-e-ahval par
tumhārā bhī koī kaanā pisar hogā to kyā hogā
na hañs itnā mirī fahrist-e-isyāñ dekh kar zāhid
tirī fard-e-amal meñ bhī sifar hogā to kyā hogā
ye har pahlū pe dard-e-dil rahegā dard-e-dil hamdam
udhar hogā to kyā hogā idhar hogā to kyā hogā
amal-dār-e-musāvāt aah tū ne ye nahīñ sochā
upper hogā to kyā hogā lower hogā to kyā hogā
hamāre rahbarān-e-qaum-o-millat 'shauq' kyā kam haiñ
vatan meñ gar na koī barber hogā to kyā hogā
buton se ishq gar be-mal-o-zar hoga to kya hoga
phaTichar ki mohabbat ka asar hoga to kya hoga
agar darpesh tufani safar hoga to kya hoga
aur aage aage buddhu rahbar hoga to kya hoga
karun to arz-e-matlab un se lekin Dar ye lagta hai
agar hoga to kya hoga magar hoga to kya hoga
abhi to hazrat-e-waiz mazammat mai ki karte hain
agar mai-KHane mein un ka guzar hoga to kya hoga
tawaf-e-kaba par jis roz honge shaiKH aamada
usi din un ka girje mein dinner hoga to kya hoga
abas ai dost hanste ho kisi ki chashm-e-ahwal par
tumhaara bhi koi kana pisar hoga to kya hoga
na hans itna meri fahrist-e-isyan dekh kar zahid
teri fard-e-amal mein bhi sifar hoga to kya hoga
ye har pahlu pe dard-e-dil rahega dard-e-dil hamdam
udhar hoga to kya hoga idhar hoga to kya hoga
amal-dar-e-musawat aah tu ne ye nahin socha
upper hoga to kya hoga lower hoga to kya hoga
hamare rahbaran-e-qaum-o-millat 'shauq' kya kam hain
watan mein gar na koi barber hoga to kya hoga
- Book : intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 87)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.