chaalis chor
phir ik ḳhabar meñ ye elaan ḳhūbsūrat hai
ki ek farm ko kuchh choroñ kī zarūrat hai
kuchh aaise chor jo choroñ kī dekh-bhāl kareñ
jo pāsbāñ ke farā.ez kā bhī ḳhayāl kareñ
ḳhabar meñ is kī vazāhat na kar sakā aḳhbār
ki kaise chor haiñ mazkūra farm ko darkār
na jaane kaun se choroñ kī farm ko hai talab
tire jahāñ meñ to chālīs chor haiñ yā-rab
diler chor javāñ chor kārobārī chor
tamām shahr meñ bad-nām ishtihārī chor
ajiib chor hunar-mand chor qābil chor
bayāz chor qalam-dān chor file chor
zalīl chor ḳhatarnāk chor shātir chor
faqat nigāh churāne ke fan meñ māhir chor
sharīf sūrat o ma.aqūl chor aslī chor
phaloñ kī tarah faqat mausamī o faslī chor
purāne chor na.e chor ḳhāndānī chor
zamīñ ke rāñda-e-dargāh āsmānī chor
kisī buzurg ke nūr-e-nazar tufailī chor
kisī Dakait ke shāgird sirf zelī chor
safed roza ke pāband allāh vaale chor
namāz o roza ke pāband allāh vaale chor
siyāsiyāt meñ uljhe hue siyāsī chor
sadā-bahār girah-kāT bāra-māsī chor
charāġh-chor qalam-chor raushnā.ī-chor
charāġh-chor ke bhaa.ī diyā-salā.ī chor
jo apne baap kī zid haiñ vo donoñ bhaa.ī chor
vo intihā.ī sharīf aur ye intihā.ī chor
bulandiyoñ se ba-tadrīj nīche girte chor
har ek shahr meñ maujūd chalte phirte chor
sharīf chor mizājan bure nahīñ hote
ki un ke haath meñ chāqū chhure nahīñ hote
ye chor vo haiñ jo karte haiñ shauqiya chorī
ye kyā kareñ ki sharāfat hai in kī kamzorī
jigar ke paas ik aise buzurg aate the
jo un kī jeb se baTvā zarūr uḌāte the
ye rail meñ jo mileñge to so rahe hoñge
ye jab bhī bas meñ khaḌe hoñge ro rahe hoñge
ga.e jo khet meñ kuchh kakḌiyāñ churā laa.e
kabhī jo ban meñ ga.e lakḌiyāñ churā laa.e
kisī kuñ.eñ pe chaḌhe bālTī churā laa.e
kisī sarā.e meñ Thahre darī churā laa.e
ḳhudā ke ghar meñ ga.e rañg hī nayā laa.e
namāziyoñ kī na.ī jūtiyāñ churā laa.e
jo kuchh nahīñ to churā laa.e bair berī se
ye chor baaz nahīñ aate herā-pherī se
kisī mazār pe pahuñche diyā churā laa.e
mushā.ere meñ ga.e qāfiya churā laa.e
ġhazal churā ke kabhī ḳhidmat-e-adab kar lī
pakaḌ ga.e to vahīñ ma.azarat talab kar lī
jo un kā raaz batāne lagā koī bhedī
to ek aadh ġhazal us ko tohfatan de dī
ye chor tanz se qaabū meñ aa nahīñ sakte
mire farishte bhī in ko miTā nahīñ sakte
raheñ na chor ye shā.er ke bas kī baat nahīñ
tamām shahr hai do chaar das kī baat nahīñ
na nazm jis meñ hai choroñ kā zikr bittafsīl
mire ḳhayāl se hai ab bhī tishna-e-takmīl
ye list choroñ kī vaqtī o ittifāqī hai
varaq tamām huā aur mad.h baaqī hai
phir ek KHabar mein ye elan KHubsurat hai
ki ek farm ko kuchh choron ki zarurat hai
kuchh aaise chor jo choron ki dekh-bhaal karen
jo pasban ke faraez ka bhi KHayal karen
KHabar mein is ki wazahat na kar saka aKHbar
ki kaise chor hain mazkura farm ko darkar
na jaane kaun se choron ki farm ko hai talab
tere jahan mein to chaalis chor hain ya-rab
diler chor jawan chor karobari chor
tamam shahr mein bad-nam ishtihaari chor
ajib chor hunar-mand chor qabil chor
bayaz chor qalam-dan chor file chor
zalil chor KHatarnak chor shatir chor
faqat nigah churane ke fan mein mahir chor
sharif surat o maqul chor asli chor
phalon ki tarah faqat mausami o fasli chor
purane chor nae chor KHandani chor
zamin ke randa-e-dargah aasmani chor
kisi buzurg ke nur-e-nazar tufaili chor
kisi Dakait ke shagird sirf zeli chor
safed roza ke paband allah wale chor
namaz o roza ke paband allah wale chor
siyasiyat mein uljhe hue siyasi chor
sada-bahaar girah-kaT bara-masi chor
charagh-chor qalam-chor raushnai-chor
charagh-chor ke bhai diya-salai chor
jo apne bap ki zid hain wo donon bhai chor
wo intihai sharif aur ye intihai chor
bulandiyon se ba-tadrij niche girte chor
har ek shahr mein maujud chalte phirte chor
sharif chor mizajan bure nahin hote
ki un ke hath mein chaqu chhure nahin hote
ye chor wo hain jo karte hain shauqiya chori
ye kya karen ki sharafat hai in ki kamzori
jigar ke pas ek aise buzurg aate the
jo un ki jeb se baTwa zarur uDate the
ye rail mein jo milenge to so rahe honge
ye jab bhi bas mein khaDe honge ro rahe honge
gae jo khet mein kuchh kakDiyan chura lae
kabhi jo ban mein gae lakDiyan chura lae
kisi kunen pe chaDhe baalTi chura lae
kisi sarae mein Thahre dari chura lae
KHuda ke ghar mein gae rang hi naya lae
namaziyon ki nai jutiyan chura lae
jo kuchh nahin to chura lae bair beri se
ye chor baz nahin aate hera-pheri se
kisi mazar pe pahunche diya chura lae
mushaere mein gae qafiya chura lae
ghazal chura ke kabhi KHidmat-e-adab kar li
pakaD gae to wahin mazarat talab kar li
jo un ka raaz batane laga koi bhedi
to ek aadh ghazal us ko tohfatan de di
ye chor tanz se qabu mein aa nahin sakte
mere farishte bhi in ko miTa nahin sakte
rahen na chor ye shaer ke bas ki baat nahin
tamam shahr hai do chaar das ki baat nahin
na nazm jis mein hai choron ka zikr bittafsil
mere KHayal se hai ab bhi tishna-e-takmil
ye list choron ki waqti o ittifaqi hai
waraq tamam hua aur madh baqi hai
- Book : Kulliyat Dilawar Figar (Pg. 317)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.