chaar baje
baiThe-biThā.e ho ga.ī ghar meñ mār-kaTā.ī chaar baje
mere buzurgoñ ne mujh ko tahzīb sikhā.ī chaar baje
ulTī ho ga.iiñ sab tadbīreñ kuchh na duā ne kaam kiyā
ammī aur abbā ne mil kar merā kaam tamām kiyā
aaj mohalle-bhar meñ gūñjī merī duhā.ī chaar baje
mere buzurgoñ ne mujh ko tahzīb sikhā.ī chaar baje
nāhaq ham majbūroñ par ye tohmat hai muḳhtārī kī
kitnī ḳhushī se ham ne apne piTne kī tayyārī kī
saare ghar meñ ham ne kaisī dhuum machā.ī chaar baje
mere buzurgoñ ne mujh ko tahzīb sikhā.ī chaar baje
bī ham-sā.ī tū kyuuñ aa.ī thī tujh ko shāyad ilm nahīñ
ye mere piTne kā manzar, koī achchhī film nahīñ
tū merā ye 'meTnī-show' kyuuñ dekhne aa.ī chaar baje
mere buzurgoñ ne mujh ko tahzīb sikhā.ī chaar baje
chaa.e kī mez pe maiñ ne kuchh naqs nikāle food meñ the
hā.e-rī qismat ammī abbā donoñ hī kuchh mood meñ the
baiThe baiThe un ko sūjhī merī bhalā.ī chaar baje
mere buzurgoñ ne mujh ko tahzīb sikhā.ī chaar baje
tere hukm binā ai daatā pattā tak nahīñ hiltā hai
maiñ to jānūñ tere hī dar se mujh ko sab kuchh miltā hai
thank you thank you tū ne karā.ī merī Thukā.ī chaar baje
mere buzurgoñ ne mujh ko tahzīb sikhā.ī chaar baje
baiThe-biThae ho gai ghar mein mar-kaTai chaar baje
mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje
ulTi ho gain sab tadbiren kuchh na dua ne kaam kiya
ammi aur abba ne mil kar mera kaam tamam kiya
aaj mohalle-bhar mein gunji meri duhai chaar baje
mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje
nahaq hum majburon par ye tohmat hai muKHtari ki
kitni KHushi se hum ne apne piTne ki tayyari ki
sare ghar mein hum ne kaisi dhum machai chaar baje
mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje
bi ham-sai tu kyun aai thi tujh ko shayad ilm nahin
ye mere piTne ka manzar, koi achchhi film nahin
tu mera ye 'meTni-show' kyun dekhne aai chaar baje
mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje
chae ki mez pe main ne kuchh naqs nikale food mein the
hae-ri qismat ammi abba donon hi kuchh mood mein the
baiThe baiThe un ko sujhi meri bhalai chaar baje
mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje
tere hukm bina ai data patta tak nahin hilta hai
main to jaanun tere hi dar se mujh ko sab kuchh milta hai
thank you thank you tu ne karai meri Thukai chaar baje
mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.