chullu-bhar pani mein jake Dub mar
chullū-bhar paanī meñ jaake Duub mar
kuchh na kuchh ġhairat hī khā ke Duub mar
saaf paanī to yahāñ miltā nahīñ
ab kisī naale meñ jaake Duub mar
shā.irī to tujh se ho saktī nahīñ
dūsroñ ke sher gā ke Duub mar
bahtī gañgā se hai terī dostī
maiñ to kahtā huuñ nahā ke Duub mar
ye bhī hai kār-e-javāñ-mardāñ miyāñ
khil-khilā ke hañs-hañsā ke Duub mar
umr-bhar tū ne nahīñ khāyā halāl
o-nikamme zahr khā ke Duub mar
ye burā.ī ek hī dam ḳhatm ho
saath apne āshnā ke Duub mar
chullu-bhar pani mein jake Dub mar
kuchh na kuchh ghairat hi kha ke Dub mar
saf pani to yahan milta nahin
ab kisi nale mein jake Dub mar
shairi to tujh se ho sakti nahin
dusron ke sher ga ke Dub mar
bahti ganga se hai teri dosti
main to kahta hun naha ke Dub mar
ye bhi hai kar-e-jawan-mardan miyan
khil-khila ke hans-hansa ke Dub mar
umr-bhar tu ne nahin khaya halal
o-nikamme zahr kha ke Dub mar
ye burai ek hi dam KHatm ho
sath apne aashna ke Dub mar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.