dam nikle
likhāne naam sachche āshiqoñ meñ jab bhī ham nikle
irādoñ meñ hamāre jaane kitne pech-o-ḳham nikle
ye sochā thā ki ghar se bhaag kar shādī rachāeñ
magar jab vaqt aayā to na vo nikleñ na ham nikle
sunā hai rāste hī meñ police ne dhar liyā un ko
hamāre dil pe jab karne ko vo mashq-e-sitam nikle
dimāġh un kā jo dekhā aur dil kī bhī talāshī lī
ka.ī pistol naḳhroñ ke ka.ī ġhusse ke bam nikle
jhagaḌ kar jab kahā begam ne ham se ghar se jaane ko
bahut be-ābrū ho kar ḳhud apne ghar se ham nikle
jo hotā aur koī to nikal jaatā vo ġhusse meñ
magar ham bā-dil-nāḳhvāsta bā-chashm-e-nam nikle
hamārā hausla to dekhiye ki lunj khaa.e hī
nahīñ lauTeñge ab ham shaam tak khā kar qasam nikle
magar jab shaam se pahle hī bhūke peT lauT aa.e
vo ta.ana de ke bolīñ aap to sābit-qadam nikle
zamāne ke satā.e haiñ jo logoñ ko hañsāte haiñ
kuredā jab bhī dil un kā hazāroñ ġham hī ġham nikle
karam kī baat hai mere gunah āmāl-nāme meñ
ye sochā thā bahut hoñge magar dekhā to kam nikle
buḌhāpe meñ bhī merī 'ḳhvāh-maḳhvāh' āḳhirī ḳhvāhish
hoñ ghar meñ bīviyāñ itnī ki har biivī pe dam nikle
likhane nam sachche aashiqon mein jab bhi hum nikle
iradon mein hamare jaane kitne pech-o-KHam nikle
ye socha tha ki ghar se bhag kar shadi rachaen
magar jab waqt aaya to na wo niklen na hum nikle
suna hai raste hi mein police ne dhar liya un ko
hamare dil pe jab karne ko wo mashq-e-sitam nikle
dimagh un ka jo dekha aur dil ki bhi talashi li
kai pistol naKHron ke kai ghusse ke bam nikle
jhagaD kar jab kaha begam ne hum se ghar se jaane ko
bahut be-abru ho kar KHud apne ghar se hum nikle
jo hota aur koi to nikal jata wo ghusse mein
magar hum ba-dil-naKHwasta ba-chashm-e-nam nikle
hamara hausla to dekhiye ki lunj khae hi
nahin lauTenge ab hum sham tak kha kar qasam nikle
magar jab sham se pahle hi bhuke peT lauT aae
wo tana de ke bolin aap to sabit-qadam nikle
zamane ke satae hain jo logon ko hansate hain
kureda jab bhi dil un ka hazaron gham hi gham nikle
karam ki baat hai mere gunah aamal-name mein
ye socha tha bahut honge magar dekha to kam nikle
buDhape mein bhi meri 'KHwah-maKHwah' aaKHiri KHwahish
hon ghar mein biwiyan itni ki har biwi pe dam nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.