ek bose ke liye itna hamein dauDaenge
ek bose ke liye itnā hameñ dauḌā.eñge
kyā ḳhabar thī vo qutub-mīnār par chaḌh jā.eñge
chaar din ke ishq ne ham ko ḳhamīra kar diyā
dekhnā hai aur vo kitnā karam farmā.eñge
hijr ke session meñ ham ne bhī irāda kar liyā
ThāTh se khatiyā bichhā kar din Dhale so jā.eñge
bad-duā.eñ de rahe ho vāqa.ī afsos hai
tum kahāñ jāoge jab ushshāq hī mar jā.eñge
kuchh to kahiye aap le kar ā.eñge kitnā jahez
zindagī bhar kyā sunahre ḳhvāb hī dikhlā.eñge
is qadar nārāz haiñ 'masrūr' se vo in dinoñ
kah rahe haiñ jā ke thāne meñ rapaT likhvā.eñge
ek bose ke liye itna hamein dauDaenge
kya KHabar thi wo qutub-minar par chaDh jaenge
chaar din ke ishq ne hum ko KHamira kar diya
dekhna hai aur wo kitna karam farmaenge
hijr ke session mein hum ne bhi irada kar liya
ThaTh se khatiya bichha kar din Dhale so jaenge
bad-duaen de rahe ho waqai afsos hai
tum kahan jaoge jab ushshaq hi mar jaenge
kuchh to kahiye aap le kar aaenge kitna jahez
zindagi bhar kya sunahre KHwab hi dikhlaenge
is qadar naraaz hain 'masrur' se wo in dinon
kah rahe hain ja ke thane mein rapaT likhwaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.