ek chehlum par
jamīla ab uTTho na aañsū bahāo
nahīñ vaqt rone kā dariyāñ bichhāo
ye duniyā hai faanī gayā jaane vaalā
vo rone se vāpas nahīñ aane vaalā
na be-kār ab tum duhā.ī machāo
uTho apne ghar meñ safā.ī karāo
muazzaz muazzaz jo ā.eñge mehmāñ
bahut naak aur bhauñ chaḌhā.eñgī ammāñ
tum un ke liye jald huqqe mañgāo
miyāñ bhaag kar chaa.e lipton kī laao
vo sab aa ke iz.hār-e-mātam kareñge
vo baiThak meñ ro.eñge chaa.e piyeñge
sunā.eñge marhūm ke vo fasāne
ki lab bolne ko diye haiñ ḳhudā ne
dulhan ne utārā na thā surḳh joḌā
ki dūlhā ne duniyā-e-fānī ko chhoḌā
bahut ḳhūb-sūrat bahut nek thā vo
hazāroñ javānoñ meñ bas ek thā vo
namāz ik bhī hargiz na us ne qazā kī
shab o roz kartā ibādat ḳhudā kī
jidhar dekhte haiñ udhar ġham hī ġham hai
kareñ is kā jitnā bhī mātam vo kam hai
na ro ro ke behāl ho ai dulhan tū
na kar is qadar āh-o-rañj-o-mehan tū
vo jannat meñ ḳhushiyāñ manā.egā mat ro
vo hūroñ se ab dil lagā.egā mat ro
jamīla ḳhudā kī qasam muskurā de
tirī be-qarārī na ham ko rulā de
raziyya zarā garm chāval to laanā
zakiyya zarā ThanDā paanī pilānā
bahut ḳhūb-sūrat bahut nek thā vo
hazāroñ javānoñ meñ bas ek thā vo
jamīla mujhe roġhnī naan denā
vo firnī uThānā vo pakvān denā
judā.ī meñ us ke huā dil divānā
ki lagtā hai achchhā na piinā na khānā
mañgāo polāv zarā aur ḳhāla
baḌhānā zarā qorme kā piyāla
jidhar dekhte haiñ udhar ġham hī ġham hai
kareñ is kā jitnā bhī mātam vo kam hai
vo nannhī ke zarde meñ kishmish hai thoḌī
bahut der se māñgtī hai nigoḌī
vo TukḌā jigar kā thā āñkhoñ kā taarā
hameñ apnī aulād se bhī thā pyārā
paḌā hai polāv meñ ghē DālDe kā
ḳhudā tū hī hāfiz hai mere gale kā
dulhan se kaho aah itnī na ro.e
be-chārī na be-kār meñ jaan kho.e
arī boTiyāñ tiin sālan meñ tere
ye chhichhḌā likhā thā muqaddar meñ mere
bahut ḳhūb-sūrat bahut nek thā vo
hazāroñ javānoñ meñ bas ek thā vo
dulhan ghar meñ chūran agar hai to laanā
nahīñ to zarā khārī botal mañgānā
na kar bain itne na ro itnā pyārī
hamāre kaleje pe chaltī hai aarī
jamila ab uTTho na aansu bahao
nahin waqt rone ka dariyan bichhao
ye duniya hai fani gaya jaane wala
wo rone se wapas nahin aane wala
na be-kar ab tum duhai machao
uTho apne ghar mein safai karao
muazzaz muazzaz jo aaenge mehman
bahut nak aur bhaun chaDhaengi amman
tum un ke liye jald huqqe mangao
miyan bhag kar chae lipton ki lao
wo sab aa ke izhaar-e-matam karenge
wo baiThak mein roenge chae piyenge
sunaenge marhum ke wo fasane
ki lab bolne ko diye hain KHuda ne
dulhan ne utara na tha surKH joDa
ki dulha ne duniya-e-fani ko chhoDa
bahut KHub-surat bahut nek tha wo
hazaron jawanon mein bas ek tha wo
namaz ek bhi hargiz na us ne qaza ki
shab o roz karta ibaadat KHuda ki
jidhar dekhte hain udhar gham hi gham hai
karen is ka jitna bhi matam wo kam hai
na ro ro ke behaal ho ai dulhan tu
na kar is qadar aah-o-ranj-o-mehan tu
wo jannat mein KHushiyan manaega mat ro
wo huron se ab dil lagaega mat ro
jamila KHuda ki qasam muskura de
teri be-qarari na hum ko rula de
raziyya zara garm chawal to lana
zakiyya zara ThanDa pani pilana
bahut KHub-surat bahut nek tha wo
hazaron jawanon mein bas ek tha wo
jamila mujhe roghni nan dena
wo firni uThana wo pakwan dena
judai mein us ke hua dil diwana
ki lagta hai achchha na pina na khana
mangao polaw zara aur KHala
baDhana zara qorme ka piyala
jidhar dekhte hain udhar gham hi gham hai
karen is ka jitna bhi matam wo kam hai
wo nannhi ke zarde mein kishmish hai thoDi
bahut der se mangti hai nigoDi
wo TukDa jigar ka tha aankhon ka tara
hamein apni aulad se bhi tha pyara
paDa hai polaw mein ghee DalDe ka
KHuda tu hi hafiz hai mere gale ka
dulhan se kaho aah itni na roe
be-chaari na be-kar mein jaan khoe
ari boTiyan tin salan mein tere
ye chhichhDa likha tha muqaddar mein mere
bahut KHub-surat bahut nek tha wo
hazaron jawanon mein bas ek tha wo
dulhan ghar mein churan agar hai to lana
nahin to zara khaari botal mangana
na kar bain itne na ro itna pyari
hamare kaleje pe chalti hai aari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.