Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

family-planning

Shaukat Thanvi

family-planning

Shaukat Thanvi

MORE BYShaukat Thanvi

    ai mire bachche mire laḳht-e-jigar paidā na ho

    yaad rakh pachhtā.egā mere ghar paidā na ho

    tujh ko paidā.ish haq to hai magar paidā na ho

    maiñ tirā ehsān mānūñgā agar paidā na ho

    ham ne ye maanā ki paidā ho gayā khā.egā kyā

    ghar meñ daane na pā.egā to bhunvā.egā kyā

    is nikhaTTū baap se māñgegā kyā pā.egā kyā

    dekh kahnā maan le jān-e-pidar paidā na ho

    yuuñ tere bhaa.ī bahnoñ hai ghar meñ rel-pel

    bilbilāte phir rahe haiñ har taraf jo be-nakel

    mere ghar ke in charāġhoñ ko mayassar kab hai tel

    bujh ke rah jā.egā to bhī bhuul kar paidā na ho

    pālte haiñ naaz se kuchh log kutte billiyāñ

    duudh vo jitnā piyeñ aur khā.eñ jitnī roTiyāñ

    ye farāġhat ai mire bachche mujhe hāsil kahāñ

    un ke ghar paidā ho aur ban kar bashar paidā na ho

    ai mere bachche mere laKHt-e-jigar paida na ho

    yaad rakh pachhtaega tu mere ghar paida na ho

    tujh ko paidaish ka haq to hai magar paida na ho

    main tera ehsan manunga agar paida na ho

    hum ne ye mana ki paida ho gaya khaega kya

    ghar mein dane hi na paega to bhunwaega kya

    is nikhaTTu bap se mangega kya paega kya

    dekh kahna man le jaan-e-pidar paida na ho

    yun hi tere bhai bahnon ki hai ghar mein rel-pel

    bilbilate phir rahe hain har taraf jo be-nakel

    mere ghar ke in charaghon ko mayassar kab hai tel

    bujh ke rah jaega to bhi bhul kar paida na ho

    palte hain naz se kuchh log kutte billiyan

    dudh wo jitna piyen aur khaen jitni roTiyan

    ye faraghat ai mere bachche mujhe hasil kahan

    un ke ghar paida ho aur ban kar bashar paida na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now