farzi latifa
ḳhudā-hāfiz musalmānoñ kā 'akbar'
mujhe to un kī ḳhush-hālī se hai yaas
ye āshiq shāhid-e-maqsūd ke haiñ
na jā.eñge va-lekin sa.ī ke paas
sunā.ūñ tum ko ik farzī latīfa
kiyā hai jis ko maiñ ne zeb-e-qirtās
kahā majnūñ se ye lailā kī maañ ne
ki beTā tū agar kar le M-A paas
to fauran biyāh duuñ lailā ko tujh se
bilā-diqqat maiñ ban jā.ūñ tirī saas
kahā majnūñ ne ye achchhī sunā.ī
kujā āshiq kujā college kī bakvās
kujā ye fitratī josh-e-tabī.at
kujā Thūñsī huī chīzoñ kā ehsās
baḌī bī aap ko kyā ho gayā hai
hiran pe laadī jaatī hai kahīñ ghaas
ye achchhī qadr-dānī aap ne kī
mujhe samjhā hai koī harcharan-dās
dil apnā ḳhuun karne ko huuñ maujūd
nahīñ manzūr maġhz-sar kā āmās
yahī Thahrī jo shart-e-vasl-e-lailā
to istīfā mirā bā-hasrat-o-yās
KHuda-hafiz musalmanon ka 'akbar'
mujhe to un ki KHush-haali se hai yas
ye aashiq shahid-e-maqsud ke hain
na jaenge wa-lekin sai ke pas
sunaun tum ko ek farzi latifa
kiya hai jis ko main ne zeb-e-qirtas
kaha majnun se ye laila ki man ne
ki beTa tu agar kar le M-A pas
to fauran biyah dun laila ko tujh se
bila-diqqat main ban jaun teri sas
kaha majnun ne ye achchhi sunai
kuja aashiq kuja college ki bakwas
kuja ye fitrati josh-e-tabiat
kuja Thunsi hui chizon ka ehsas
baDi bi aap ko kya ho gaya hai
hiran pe ladi jati hai kahin ghas
ye achchhi qadr-dani aap ne ki
mujhe samjha hai koi harcharan-das
dil apna KHun karne ko hun maujud
nahin manzur maghz-sar ka aamas
yahi Thahri jo shart-e-wasl-e-laila
to istifa mera ba-hasrat-o-yas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.