gar yun na kiya nafas pe main jaur karunga
gar yuuñ na kiyā nafas pe maiñ jaur karūñgā
ik biivī hai pahle mirī tiin aur karūñgā
har suube se lā.ūñgā dulhan apne liye maiñ
is azm kī takmīl maiñ fil-faur karūñgā
ai mere vatan maiñ tirī yak-jehtī kī ḳhātir
chāroñ ko ikaTThā yahāñ lahore karūñgā
mahbūb mire qadmoñ meñ aa aa ke gireñge
aurād-o-vazā.if kā maiñ yuuñ daur karūñgā
aulād kī kasrat pe hai sau sau yahāñ qadġhan
maiñ sau se ziyāda to bahar-taur karūñgā
maiñ jaur karūñ un pe ye hogī kahāñ jur.at
vo mil ke na pīTeñgī agar jaur karūñgā
ḳharche ke liye dhanda smuggling kā hai achchhā
kis shai kī smuggling ho abhī ġhaur karūñgā
gar yun na kiya nafas pe main jaur karunga
ek biwi hai pahle meri tin aur karunga
har sube se launga dulhan apne liye main
is azm ki takmil main fil-faur karunga
ai mere watan main teri yak-jehti ki KHatir
chaaron ko ikaTTha yahan lahore karunga
mahbub mere qadmon mein aa aa ke girenge
aurad-o-wazaif ka main yun daur karunga
aulad ki kasrat pe hai sau sau yahan qadghan
main sau se ziyaada to bahar-taur karunga
main jaur karun un pe ye hogi kahan jurat
wo mil ke na piTengi agar jaur karunga
KHarche ke liye dhanda smuggling ka hai achchha
kis shai ki smuggling ho abhi ghaur karunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.