hath mein laThi pakaD kar ishq farmaenge kya
haath meñ lāThī pakaḌ kar ishq farmā.eñge kyā
bābā-jī kuchh aur din bhī aap jī pā.eñge kyā
doctor kī fees kā sun kar marīz-e-mohtaram
operation se hī pahle kuuch farmā.eñge kyā
tuitioneñ ghar meñ paḌhāte haiñ yahī kaafī nahīñ
madrase meñ master jī ḳhaak paḌhā.eñge kyā
qīmateñ dāloñ kī bhī baḌh jā.eñgī sochā na thā
log dhakkoñ ke sivā ab aur kuchh khā.eñge kyā
rasm-o-rah go afsaroñ se is qadar achchhī nahīñ
ham agar makkhan lagā.eñ vo na lagvā.eñge kyā
hath mein laThi pakaD kar ishq farmaenge kya
baba-ji kuchh aur din bhi aap ji paenge kya
doctor ki fees ka sun kar mariz-e-mohtaram
operation se hi pahle kuch farmaenge kya
tuitionen ghar mein paDhate hain yahi kafi nahin
madrase mein master ji KHak paDhaenge kya
qimaten dalon ki bhi baDh jaengi socha na tha
log dhakkon ke siwa ab aur kuchh khaenge kya
rasm-o-rah go afsaron se is qadar achchhi nahin
hum agar makkhan lagaen wo na lagwaenge kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.