haziq-ul-mulk na koi bhi raha mere baad
hāziq-ul-mulk na koī bhī rahā mere ba.ad
kaun degā tujhe khujlī kī davā mere ba.ad
murġhiyāñ kofte machhlī bhune tītar anDe
kis ke ghar jā.egā sailāb-e-ġhizā mere ba.ad
fātiha-ḳhvānī meñ ahbāb uḌā.eñge polāv
aur kareñge mirī baḳhshish kī duā mere ba.ad
ik yahī chiiz hai jo ḳhair se hai be-ration
kaun khā.egā clifton kī havā mere ba.ad
saiñkaḌoñ plan banā kar tujhe dūñgā ai dost
jin ke paḌhne se ho ''bahutoñ kā bhalā'' mere ba.ad
ai ki hai sefety-razor tirā har har ġhamza
aur kis kis pe karegā tū jafā mere ba.ad
kal ye ik uuñT se kahtā thā shuturbān 'majīd'
kaun hogā tire ġhamzoñ pe fidā mere ba.ad
haziq-ul-mulk na koi bhi raha mere baad
kaun dega tujhe khujli ki dawa mere baad
murghiyan kofte machhli bhune titar anDe
kis ke ghar jaega sailab-e-ghiza mere baad
fatiha-KHwani mein ahbab uDaenge polaw
aur karenge meri baKHshish ki dua mere baad
ek yahi chiz hai jo KHair se hai be-ration
kaun khaega clifton ki hawa mere baad
sainkaDon plan bana kar tujhe dunga ai dost
jin ke paDhne se ho bahuton ka bhala mere baad
ai ki hai sefety-razor tera har har ghamza
aur kis kis pe karega tu jafa mere baad
kal ye ek unT se kahta tha shuturban 'majid'
kaun hoga tere ghamzon pe fida mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.