hai ab to hasinaon ka halqa mere aage
hai ab to hasīnāoñ kā halqa mire aage
salmā mire pīchhe hai zuleḳhā mire aage
ab bach ke kahāñ jaa.e har ik samt hai dīvār
biivī mire pīchhe hai to bachcha mire aage
be-parda vo college meñ to phirtī haiñ barābar
oḌhā mirī mahbūb ne burqa mire aage
maiñ ab ke election meñ gañvā baiThā zamānat
Duubā mirī qismat kā sitāra mire aage
baḌhne kī tamannā ho to mujh jaise bano tum
kahne lagā sāhab kā ye chamcha mire aage
das bachchoñ ke abbā haiñ magar hai yahī ḳhvāhish
har vaqt hī baiThī rahe lailā mire aage
ab vo bhī to kahne lage mujh ko 'nazar' uncle
niklā hai murādoñ kā janāza mire aage
hai ab to hasinaon ka halqa mere aage
salma mere pichhe hai zuleKHa mere aage
ab bach ke kahan jae har ek samt hai diwar
biwi mere pichhe hai to bachcha mere aage
be-parda wo college mein to phirti hain barabar
oDha meri mahbub ne burqa mere aage
main ab ke election mein ganwa baiTha zamanat
Duba meri qismat ka sitara mere aage
baDhne ki tamanna ho to mujh jaise bano tum
kahne laga sahab ka ye chamcha mere aage
das bachchon ke abba hain magar hai yahi KHwahish
har waqt hi baiThi rahe laila mere aage
ab wo bhi to kahne lage mujh ko 'nazar' uncle
nikla hai muradon ka janaza mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.