ham-sai
qayāmat ban ke TuuTī vo kabhī ban kar azaab aa.ī
balā-e-nā-gahānī se nahīñ kam merī ham-sā.ī
vo qaiñchī kī tarah apnī zabāñ jis dam chalātī hai
vo ḳhud-sar ek pal meñ saarā ghar sar par uThātī hai
zabāñ ke saath añgusht-e-shahādat bhī nachātī hai
mujhe jo baat bhī ho yaad fauran bhuul jaatī hai
ye sach hai us ke aage chal nahīñ saktī zabāñ merī
nahīñ minnat-kash-e-tāb-e-shunīdan dāstān merī
mire ghar kā to chaupaT saarā kārobār hai us se
mohalla dard-e-sar kā mustaqil bīmār hai us se
faqat ik maiñ nahīñ saarī galī be-zār hai us se
jise dekho shikār-e-ranjish-e-āzār hai us se
nirālī vaz.a hai saare zamāne se nirālī hai
vo zālim kaun sī bastī kī yā-rab rahne vaalī hai
yahāñ tak silsila pahuñchā hai us kī kam-bayānī kā
vo nau bachchoñ kī maañ hai phir bhī daavā hai javānī kā
vasīla hai yahī ehsās us kī shādmānī kā
bahut kamzor pahlū hai ye us kī zindagānī kā
buā kah kar pukāre jo use sau-sau sunātī hai
vo is pīrāna-sālī meñ bhī baajī kahlavātī hai
gila ḳhvesh-o-aqārib kā hai unvān-e-soḳhan us kā
ḳhusur kī saas kī nandoñ kī ġhībat hai chalan us kā
zabāñ talvār hai us kī dhamākā hai dahan us kā
na kyuuñ ho sab mohalle par musallat makr-o-fan us kā
laḌā.ī meñ na kaam aatī haiñ taqrīreñ na takrāreñ
ki us kī ek aahaT se laraz jaatī haiñ dīvāreñ
mire ghar meñ vo jab aa.ī ba-vaqt-e-ḳhurd-o-nosh aa.ī
takalluf hī ravā rakkhā na jhijkī aur na sharmā.ī
uḌā kar le ga.ī jhaT se mire hisse kī bālā.ī
ye us kī be-hijābī kī hai adnā kār-farmā.ī
vo din mere liye yaum-e-musībat ban ke aayā hai
mirī ammī ne jab us kalamoī ko muñh lagāyā thā
mazā jaatā rahā jiine kā ham-sā.ī milī achchhī
agar guzre to guzre kis tarah ab zindagī achchhī
na us kī dushmanī achchhī na us kī dostī achchhī
kisī ke vāste us kī nahīñ ham-sā.egī achchhī
muqaddar ne bhalā ham se mazāq āḳhir kiyā kyā hai
ḳhudā-yā jis ḳhatā kī ye sazā hai vo ḳhatā kyā hai
qayamat ban ke TuTi wo kabhi ban kar azab aai
bala-e-na-gahani se nahin kam meri ham-sai
wo qainchi ki tarah apni zaban jis dam chalati hai
wo KHud-sar ek pal mein sara ghar sar par uThati hai
zaban ke sath angusht-e-shahadat bhi nachati hai
mujhe jo baat bhi ho yaad fauran bhul jati hai
ye sach hai us ke aage chal nahin sakti zaban meri
nahin minnat-kash-e-tab-e-shunidan dastan meri
mere ghar ka to chaupaT sara karobar hai us se
mohalla dard-e-sar ka mustaqil bimar hai us se
faqat ek main nahin sari gali be-zar hai us se
jise dekho shikar-e-ranjish-e-azar hai us se
nirali waza hai sare zamane se nirali hai
wo zalim kaun si basti ki ya-rab rahne wali hai
yahan tak silsila pahuncha hai us ki kam-bayani ka
wo nau bachchon ki man hai phir bhi dawa hai jawani ka
wasila hai yahi ehsas us ki shadmani ka
bahut kamzor pahlu hai ye us ki zindagani ka
bua kah kar pukare jo use sau-sau sunati hai
wo is pirana-sali mein bhi baji kahlawati hai
gila KHwesh-o-aqarib ka hai unwan-e-soKHan us ka
KHusur ki sas ki nandon ki ghibat hai chalan us ka
zaban talwar hai us ki dhamaka hai dahan us ka
na kyun ho sab mohalle par musallat makr-o-fan us ka
laDai mein na kaam aati hain taqriren na takraren
ki us ki ek aahaT se laraz jati hain diwaren
mere ghar mein wo jab aai ba-waqt-e-KHurd-o-nosh aai
takalluf hi rawa rakkha na jhijki aur na sharmai
uDa kar le gai jhaT se mere hisse ki baalai
ye us ki be-hijabi ki hai adna kar-farmai
wo din mere liye yaum-e-musibat ban ke aaya hai
meri ammi ne jab us kalamoi ko munh lagaya tha
maza jata raha jine ka ham-sai mili achchhi
agar guzre to guzre kis tarah ab zindagi achchhi
na us ki dushmani achchhi na us ki dosti achchhi
kisi ke waste us ki nahin ham-saegi achchhi
muqaddar ne bhala hum se mazaq aaKHir kiya kya hai
KHuda-ya jis KHata ki ye saza hai wo KHata kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.