humse gham-KHwariyan nahin achchhi
ham se ġham-ḳhvāriyāñ nahīñ achchhī
ye adā-kāriyāñ nahīñ achchhī
kuchh jo banñā hai chāplūsī kar
dekh ḳhuddāriyāñ nahīñ achchhī
shaiḳh sāhab suno za.īfī meñ
dil kī bīmāriyāñ nahīñ achchhī
nām-e-urdu se ham ko do na fareb
ye dil-āzāriyāñ nahīñ achchhī
raat meñ saath pī lo vaa.iz ke
din kī mai-ḳhvāriyāñ nahīñ achchhī
kachchī imlī vo phir mañgāte haiñ
phir se tayyāriyāñ nahīñ achchhī
vote lete ho bhuul jaate ho
dekho ġhaddāriyāñ nahīñ achchhī
haath meñ uun le ke baiThe haiñ
aisī gul-kāriyāñ nahīñ achchhī
jeb kaaTo ki race khelo 'rahīm'
dekho be-kāriyāñ nahīñ achchhī
hum se gham-KHwariyan nahin achchhi
ye ada-kariyan nahin achchhi
kuchh jo banna hai chaplusi kar
dekh KHuddariyan nahin achchhi
shaiKH sahab suno zaifi mein
dil ki bimariyan nahin achchhi
nam-e-urdu se hum ko do na fareb
ye dil-azariyan nahin achchhi
raat mein sath pi lo waiz ke
din ki mai-KHwariyan nahin achchhi
kachchi imli wo phir mangate hain
phir se tayyariyan nahin achchhi
wote lete ho bhul jate ho
dekho ghaddariyan nahin achchhi
hath mein un le ke baiThe hain
aisi gul-kariyan nahin achchhi
jeb kaTo ki race khelo 'rahim'
dekho be-kariyan nahin achchhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.