har ada mashkuk teri mushtaba har baat hai
har adā mashkūk terī mushtaba har baat hai
allāh rakkhe tū to ik ganjīna-e-shub.hāt hai
chor-bāzārī smuggling qatl-o-ġhārat lūT-mār
kyā kamī hai apne haañ har chiiz kī buhtāt hai
un ko sirf is kaam meñ uljhā.e rakhnā hai ġhalat
ham ne maanā bachche janñā kār-e-mastūrāt hai
note dikhlā kar use ham kheñch laa.e apne haañ
ham na kahte the ki paisa qāzī-ul-hājāt hai
har ada mashkuk teri mushtaba har baat hai
allah rakkhe tu to ek ganjina-e-shubhat hai
chor-bazari smuggling qatl-o-ghaarat luT-mar
kya kami hai apne han har chiz ki buhtat hai
un ko sirf is kaam mein uljhae rakhna hai ghalat
hum ne mana bachche janna kar-e-masturaat hai
note dikhla kar use hum khench lae apne han
hum na kahte the ki paisa qazi-ul-hajat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.