hindostan hamara
na ye zamīñ hamārī na āsmāñ hamārā
dozaḳh se kam nahīñ hai jannat-nishāñ hamārā
sunñā paḌegā sab ko ab to bayāñ hamārā
hindostāñ ke ham haiñ hindostāñ hamārā
jantā pe raaj kartī hai dākuoñ kī Tolī
vo bach ga.e junūñ se khelī thī ḳhuuñ kī holī
ma.asūm shahriyoñ pe jis ne chalā.ī golī
vo santarī banā hai ab pāsbāñ hamārā
ġhairoñ se ham ne sīkhā apnoñ ko ġhair rakhnā
nāmūs hī haram kā na pās-e-dair rakhnā
maz.hab hī jab sikhā.e aapas meñ bair rakhnā
baaqī rahegā kaise nām-o-nishāñ hamārā
maqtūl kyā batā.e hai kaun us kā qātil
kab jaane ḳhatm hogī ye jañg-e-haq-o-bātil
hubb-e-vatan hamāre īmān meñ hai shāmil
muslim haiñ ham vatan hai saarā jahāñ hamārā
raushan huī haiñ sham.eñ ham se hī anjuman meñ
ġhunche khilā.e ham ne sahrā meñ aur ban meñ
ai bāġhbāñ batā tū itne baḌe chaman meñ
kyā harj hai rahe gar ik āshiyāñ hamārā
ham ne bhī ḳhuun de kar sīñchā hai is chaman ko
sar se bañdhā hai ab bhī kholā nahīñ kafan ko
kahte haiñ aas koī ham se nahīñ vatan ko
hai koī duur kar de vahm-o-gumāñ hamārā
go kārvāñ hamārā āmāda-e-safar hai
raste meñ luT na jaa.e har shaḳhs ko ye Dar hai
rahzan banā hai rahbar aur raah pur-ḳhatar hai
manzil pe kaise pahuñchegā kārvāñ hamārā
pagDanDiyoñ pe chalte haiñ rahguzar nahīñ hai
tanhā haiñ un kā koī bhī ham-safar nahīñ hai
ham shā.iroñ ko dekho rahne ko ghar nahīñ hai
likhte haiñ shā.irī meñ saarā jahāñ hamārā
izzat-o-ābrū se jiine kā azm kar leñ
apne vatan pe qurbāñ hone kā azm kar leñ
maut aa ga.ī to hans kar marne kā azm kar leñ
kab tak rahegā āḳhir dil nā-tavāñ hamārā
jab se huā hai darham-barham nizām apnā
koī nahīñ jahāñ meñ qā.em-maqām apnā
sab ke diloñ meñ yaaro ab hai qiyām apnā
samjho hameñ vahīñ ab dil hai jahāñ hamārā
jiinā yahāñ sazā hai ab aur ham kaheñ kyā
gandī fazā meñ kab tak mar mar ke ham ji.eñ kyā
chīn-o-arab ko le kar ham 'ḳhvāh-maḳhvāh' kareñ kyā
kaafī hai bas rahe gar hindostāñ hamārā
na ye zamin hamari na aasman hamara
dozaKH se kam nahin hai jannat-nishan hamara
sunna paDega sab ko ab to bayan hamara
hindostan ke hum hain hindostan hamara
janta pe raj karti hai dakuon ki Toli
wo bach gae junun se kheli thi KHun ki holi
masum shahriyon pe jis ne chalai goli
wo santari bana hai ab pasban hamara
ghairon se hum ne sikha apnon ko ghair rakhna
namus hi haram ka na pas-e-dair rakhna
mazhab hi jab sikhae aapas mein bair rakhna
baqi rahega kaise nam-o-nishan hamara
maqtul kya batae hai kaun us ka qatil
kab jaane KHatm hogi ye jang-e-haq-o-baatil
hubb-e-watan hamare iman mein hai shamil
muslim hain hum watan hai sara jahan hamara
raushan hui hain shamen hum se hi anjuman mein
ghunche khilae hum ne sahra mein aur ban mein
ai baghban bata tu itne baDe chaman mein
kya harj hai rahe gar ek aashiyan hamara
hum ne bhi KHun de kar sincha hai is chaman ko
sar se bandha hai ab bhi khola nahin kafan ko
kahte hain aas koi hum se nahin watan ko
hai koi dur kar de wahm-o-guman hamara
go karwan hamara aamada-e-safar hai
raste mein luT na jae har shaKHs ko ye Dar hai
rahzan bana hai rahbar aur rah pur-KHatar hai
manzil pe kaise pahunchega karwan hamara
pagDanDiyon pe chalte hain rahguzar nahin hai
tanha hain un ka koi bhi ham-safar nahin hai
hum shairon ko dekho rahne ko ghar nahin hai
likhte hain shairi mein sara jahan hamara
izzat-o-abru se jine ka azm kar len
apne watan pe qurban hone ka azm kar len
maut aa gai to hans kar marne ka azm kar len
kab tak rahega aaKHir dil na-tawan hamara
jab se hua hai darham-barham nizam apna
koi nahin jahan mein qaem-maqam apna
sab ke dilon mein yaro ab hai qiyam apna
samjho hamein wahin ab dil hai jahan hamara
jina yahan saza hai ab aur hum kahen kya
gandi faza mein kab tak mar mar ke hum jien kya
chin-o-arab ko le kar hum 'KHwah-maKHwah' karen kya
kafi hai bas rahe gar hindostan hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.