ho rahe hain nit nae qanun jari in dinon
ho rahe haiñ nit-na.e qānūn jaarī in dinoñ
chal rahī hai dil pe aalam ke kaTārī in dinoñ
tax kī bhar-mār se mātam hai saare hind meñ
kuchh sunī jaatī nahīñ fariyād-o-zārī in dinoñ
hākimān-e-hind ko apnī hī ishrat se hai kaam
kaun kartā hai hamārī ġham-gusārī in dinoñ
maal o izzat jāh-o-mansab apne sab jaate rahe
rah ga.ī hai sirf un kī yādgārī in dinoñ
officoñ meñ sar khule bañgāliyoñ kī dhuum hai
mar rahe haiñ maare fāqoñ ke bihārī in dinoñ
ilm hāsil kar ke bhī miltī nahīñ hai naukrī
rahm ke qābil hai bas hālat hamārī in dinoñ
ham fidā hoñ un pe aur vo ham se yuuñ bad-zan raheñ
kaam aatī hai nahīñ kuchh jāñ-nisārī in dinoñ
jaur un ke sahte sahte naak meñ dam aa gayā
kyā karūñ kartā nahīñ hai baḳht yaarī in dinoñ
pattā pattā india ke baaġh kā murjhā gayā
kyuuñ idhar aatī nahīñ bād-e-bahārī in dinoñ
TūTī-phūTī saḌkeñ hoñ is paTna jaise shahr meñ
ḳhalq hai municipality se aarī in dinoñ
hai ye satvat baat karte mulk barahmā fat.h thā
teġh-e-englistan pe hai kiyā āb-dārī in dinoñ
ḳhush-bayānī par jo apnī shaad rahte the bahut
un kī hai rañj-o-alam sahne kī baarī in dinoñ
sunte haiñ ab tak nahīñ aayā himāqat se vo baaz
sar pe ahmaq ke hai phir jin kī savārī in dinoñ
gul-ezār-e-pārsī har dam gale kā haar hai
loTtī hai ḳhaak par mālan bichārī in dinoñ
fārsī bhī ho ga.ī ab to zabān-e-mādrī
qābiliyyat ho ga.ī duunī duunī hamārī in dinoñ
ho rahe hain nit-nae qanun jari in dinon
chal rahi hai dil pe aalam ke kaTari in dinon
tax ki bhar-mar se matam hai sare hind mein
kuchh suni jati nahin fariyaad-o-zari in dinon
hakiman-e-hind ko apni hi ishrat se hai kaam
kaun karta hai hamari gham-gusari in dinon
mal o izzat jah-o-mansab apne sab jate rahe
rah gai hai sirf un ki yaadgari in dinon
officon mein sar khule bangaliyon ki dhum hai
mar rahe hain mare faqon ke bihaari in dinon
ilm hasil kar ke bhi milti nahin hai naukri
rahm ke qabil hai bas haalat hamari in dinon
hum fida hon un pe aur wo hum se yun bad-zan rahen
kaam aati hai nahin kuchh jaan-nisari in dinon
jaur un ke sahte sahte nak mein dam aa gaya
kya karun karta nahin hai baKHt yari in dinon
patta patta india ke bagh ka murjha gaya
kyun idhar aati nahin baad-e-bahaari in dinon
TuTi-phuTi saDken hon is paTna jaise shahr mein
KHalq hai municipality se aari in dinon
hai ye satwat baat karte mulk barahma fath tha
tegh-e-englistan pe hai kiya aab-dari in dinon
KHush-bayani par jo apni shad rahte the bahut
un ki hai ranj-o-alam sahne ki bari in dinon
sunte hain ab tak nahin aaya himaqat se wo baz
sar pe ahmaq ke hai phir jin ki sawari in dinon
gul-ezar-e-parsi har dam gale ka haar hai
loTti hai KHak par malan bichaari in dinon
farsi bhi ho gai ab to zaban-e-madri
qabiliyyat ho gai duni duni hamari in dinon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.