holi
chhā.ī haiñ har ik samt jo holī kī bahāreñ
pichkāriyāñ taane vo hasīnoñ kī qatāreñ
haiñ haath hinā-rañg to rañgīn phuvāreñ
ik dil se bhalā aartī kis kis kī utāreñ
chandan se badan āb-e-gul-e-shoḳh se nam haiñ
sau dil hoñ agar paas to is bazm meñ kam haiñ
mehrāb-e-dar-e-mai-kadā har ābrū-e-ḳhamdār
bal khāne se shoḳhī meñ bane jaate haiñ talvār
kahtā hai har ik dil ki fidā-e-lab-o-ruḳhsār
sab ishq ke saudā.ī haiñ ma.ashūq ḳharīdār
sūraj bhī parastār hai biñdiyā kī chamak kā
har zaḳhm maza letā hai chehre ke namak kā
rañgīn phuvāreñ haiñ ki sāvan kī jhaḌī hai
būñdoñ ke nagīnoñ ne har ik shakl jaḌī hai
chillāte haiñ āshiq ki musībat kī ghaḌī hai
vo shoḳh liye rañg jo hāthoñ meñ khaḌī hai
taskīn milegī jo gale aan lagegī
paanī ke bujhā.e se na ye aag bujhegī
tasvīr banī jaatī hai ik nāz-o-adā se
paanī huī jaatī hai koī sharm-o-hayā se
resham sī laTeñ ruḳh pe ulajhtī haiñ havā se
buDDhe bhī duā karte haiñ jiine kī ḳhudā se
ma.ashūq koī rañg jo chehre pe lagā de
ham kyā haiñ farishte ko bhī insān banā de
haiñ gandumī chehre to badan sab ke hare haiñ
rañgīn phuvāroñ se chaman dil ke bhare haiñ
us dil ko hī dil kahiye qadam jis pe dhare haiñ
dil pāñv-tale shoḳh jo pāmāl kare haiñ
hai jashn-e-bahārāñ to chalo holī manā.eñ
is rañg ke sailāb meñ sab mil ke nahā.eñ
nafrat ke taraf-dār nahīñ sāhib-e-irfāñ
dete haiñ sabaq pyaar ke giitā ho ki qur.āñ
tyauhār to tyauhār hai hindū na musalmāñ
ham rañg uchhaleñ to pakā.eñ vo sivayyāñ
ranjīda paḌosī jo uThā dār-e-jahāñ se
ḳhushiyoñ kā guzar hogā na phir tere makāñ se
chhai hain har ek samt jo holi ki bahaaren
pichkariyan tane wo hasinon ki qataren
hain hath hina-rang to rangin phuwaren
ek dil se bhala aarti kis kis ki utaren
chandan se badan aab-e-gul-e-shoKH se nam hain
sau dil hon agar pas to is bazm mein kam hain
mehrab-e-dar-e-mai-kada har aabru-e-KHamdar
bal khane se shoKHi mein bane jate hain talwar
kahta hai har ek dil ki fida-e-lab-o-ruKHsar
sab ishq ke saudai hain mashuq KHaridar
suraj bhi parastar hai bindiya ki chamak ka
har zaKHm maza leta hai chehre ke namak ka
rangin phuwaren hain ki sawan ki jhaDi hai
bundon ke naginon ne har ek shakl jaDi hai
chillate hain aashiq ki musibat ki ghaDi hai
wo shoKH liye rang jo hathon mein khaDi hai
taskin milegi jo gale aan lagegi
pani ke bujhae se na ye aag bujhegi
taswir bani jati hai ek naz-o-ada se
pani hui jati hai koi sharm-o-haya se
resham si laTen ruKH pe ulajhti hain hawa se
buDDhe bhi dua karte hain jine ki KHuda se
mashuq koi rang jo chehre pe laga de
hum kya hain farishte ko bhi insan bana de
hain gandumi chehre to badan sab ke hare hain
rangin phuwaron se chaman dil ke bhare hain
us dil ko hi dil kahiye qadam jis pe dhare hain
dil panw-tale shoKH jo pamal kare hain
hai jashn-e-bahaaran to chalo holi manaen
is rang ke sailab mein sab mil ke nahaen
nafrat ke taraf-dar nahin sahib-e-irfan
dete hain sabaq pyar ke gita ho ki quran
tyauhaar to tyauhaar hai hindu na musalman
hum rang uchhalen to pakaen wo siwayyan
ranjida paDosi jo uTha dar-e-jahan se
KHushiyon ka guzar hoga na phir tere makan se
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 208)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.