Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHamoshi

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    agarche ye jahān-e-rañg-o-bū hai

    magar har fasād-e-maiñ-o-tū hai

    maiñ chup rah kar bahut kuchh kah gayā huuñ

    ye ḳhāmoshī merī guftugū hai

    tanz-o-mizāh yuuñ bhī karishma dikhā diyā

    hans kar rulā diyā kabhī ro kar hañsā diyā

    ḳhāmosh rah ke maiñ ne ka.ī baar 'ḳhvāh-maḳhvāh'

    logoñ ko guftugū salīqa sikhā diyā

    jab bhī yaad kisī dil meñ aatī jaatī rahtī hai

    bhūlī-bisrī bātoñ ḳhushbū mahkātī rahtī hai

    jab maazī āvāzeñ dīvāroñ se Takrātī haiñ

    mere ghar meñ ḳhāmoshī bhī shor machātī rahtī hai

    siyāhī bhī rang sunahrā dekhā hai

    sāhil par bhī paanī gahrā dekhā hai

    jis par ḳhāmoshī pahra dekhā hai

    maiñ ne us āvāz chehra dekhā hai

    kabhī hamdam kabhī hamrāz huā kartī hai

    kabhī monis kabhī dam-sāz huā kartī hai

    dil ke kānoñ se sunoge to sunā.ī degī

    ḳhāmoshī meñ bhī ik āvāz huā kartī hai

    ayaañ jo ho gayā rāz-e-nihāñ ḳhamoshī

    farefta ho saarā jahāñ ḳhamoshī

    ḳhud apne dil dhḌaknā sunā.ī detā hai

    ye fā.eda bhī bahut hai miyāñ ḳhamoshī

    samajh leñ raast goī ko jo shah-zorī samajhte haiñ

    vo kaisī bhī ho ham chorī ko bas chorī samajhte haiñ

    buland āvāz meñ sach bolnā yuuñ bhī zarūrī hai

    hamārī ḳhāmoshī ko log kamzorī samajhte haiñ

    zabān yuuñ bhī kabhī āsmān hotī hai

    jo muñh meñ rah ke bhī tīr-o-kamān hotī hai

    ajiib tarz-e-takallum hai ḳhāmoshī bhī

    zabān rakhte hue be-zabān hotī hai

    jo shā.irī meñ vo ūñchī uḌaan rakhtā hai

    to guftugū meñ bhī mīThī zabān rakhtā hai

    vo 'ḳhvāh-maḳhvāh' bahut kam-suḳhan to hai lekin

    ḳhamoshiyoñ meñ chhupī dāstān rakhtā hai

    agarche ye jahan-e-rang-o-bu hai

    magar har su fasad-e-main-o-tu hai

    main chup rah kar bahut kuchh kah gaya hun

    ye KHamoshi hi meri guftugu hai

    tanz-o-mizah ka yun bhi karishma dikha diya

    hans kar rula diya kabhi ro kar hansa diya

    KHamosh rah ke main ne kai bar 'KHwah-maKHwah'

    logon ko guftugu ka saliqa sikha diya

    jab bhi yaad kisi ki dil mein aati jati rahti hai

    bhuli-bisri baaton ki KHushbu mahkati rahti hai

    jab mazi ki aawazen diwaron se Takraati hain

    mere ghar mein KHamoshi bhi shor machati rahti hai

    siyahi ka bhi rang sunahra dekha hai

    sahil par bhi pani gahra dekha hai

    jis par KHamoshi ka pahra dekha hai

    main ne us aawaz ka chehra dekha hai

    kabhi hamdam kabhi hamraaz hua karti hai

    kabhi monis kabhi dam-saz hua karti hai

    dil ke kanon se sunoge to sunai degi

    KHamoshi mein bhi ek aawaz hua karti hai

    ayan jo ho gaya raaz-e-nihan KHamoshi ka

    farefta ho sara jahan KHamoshi ka

    KHud apne dil ka dhDakna sunai deta hai

    ye faeda bhi bahut hai miyan KHamoshi ka

    samajh len rast goi ko jo shah-zori samajhte hain

    wo kaisi bhi ho hum chori ko bas chori samajhte hain

    buland aawaz mein sach bolna yun bhi zaruri hai

    hamari KHamoshi ko log kamzori samajhte hain

    zaban yun bhi kabhi aasman hoti hai

    jo munh mein rah ke bhi tir-o-kaman hoti hai

    ajib tarz-e-takallum hai KHamoshi ka bhi

    zaban rakhte hue be-zaban hoti hai

    jo shairi mein wo unchi uDan rakhta hai

    to guftugu mein bhi miThi zaban rakhta hai

    wo 'KHwah-maKHwah' bahut kam-suKHan to hai lekin

    KHamoshiyon mein chhupi dastan rakhta hai

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now