Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kya na dawa khai la-haul wala quwwat

Masroor Shahjahanpuri

kya kya na dawa khai la-haul wala quwwat

Masroor Shahjahanpuri

MORE BYMasroor Shahjahanpuri

    kyā kyā na davā khaa.ī lā-haul valā quvvat

    aa.ī na tavānā.ī lā-haul valā quvvat

    ham ko ġham-e-furqat meñ do din buḳhār aaya

    kyā shakl nikal aa.ī lā-haul valā quvvat

    mushkil se sañbhālā thā ham ne dil-e-nādāñ ko

    phir chal paḌī purvā.ī lā-haul valā quvvat

    ham gas pe rakkhe haiñ aur un ko idhar aa.e

    añgḌā.ī pe añgḌā.ī lā-haul valā quvvat

    phir shor kiyā us ne phir aa ga.e ghar vaale

    phir daal na gal paa.ī lā-haul valā quvvat

    sab meat mutton ġhā.eb parhez pe la.anat ho

    jab dekhiye chaulā.ī lā-haul valā quvvat

    ghar meñ to sabhī sūteñ har roz chicken aur ham

    majbūr tamāshā.ī lā-haul valā quvvat

    kya kya na dawa khai la-haul wala quwwat

    aai na tawanai la-haul wala quwwat

    hum ko gham-e-furqat mein do din hi buKHar aaya

    kya shakl nikal aai la-haul wala quwwat

    mushkil se sanbhaala tha hum ne dil-e-nadan ko

    phir chal paDi purwai la-haul wala quwwat

    hum gas pe rakkhe hain aur un ko idhar aae

    angDai pe angDai la-haul wala quwwat

    phir shor kiya us ne phir aa gae ghar wale

    phir dal na gal pai la-haul wala quwwat

    sab meat mutton ghaeb parhez pe lanat ho

    jab dekhiye chaulai la-haul wala quwwat

    ghar mein to sabhi suten har roz chicken aur hum

    majbur tamashai la-haul wala quwwat

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now