Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

roTiyan

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    kamyāb ho ga.iiñ jo zahānat roTiyāñ

    khāne lage haiñ log jahālat roTiyāñ

    mehnat se jin ko aar hai vo bhiik maañg kar

    din-rāt toḌte haiñ saḳhāvat roTiyāñ

    khā to rahe ho dekhnā pachhtāoge ik din

    hotī nahīñ haiñ hazm adāvat roTiyāñ

    leader hamāre bāhamī nafrat aag par

    jab señk chuke gandī siyāsat roTiyāñ

    ab aarzī fat.h pe nadīdoñ ko dekhiye

    itrā ke khā rahe haiñ himāqat roTiyāñ

    kuttoñ ko khilā.enge mohabbat ġhizā.eñ

    mehmāñ ko khilāte haiñ hiqārat roTiyāñ

    charbī ghaTā leñ apnī sehat-mand aurteñ

    parhez meñ khātī haiñ nazākat roTiyāñ

    ghar ke kitchen buzurgo rakhnā zarā ḳhayāl

    dekho vahāñ pakeñ na baġhāvat roTiyāñ

    aql-e-kul jinheñ chhū kar nahīñ ga.ī

    bāñTo na un meñ fahm-o-farāsat roTiyāñ

    insāñ ko satā.egī sadā bhuuk havas

    jab tak na mayassar hoñ qanā.at roTiyāñ

    merī sehat raaz bas itnā hai 'ḳhvāh-maḳhvāh'

    khātā huuñ roz tanz-o-zarāfat roTiyāñ

    kamyab ho gain jo zahanat ki roTiyan

    khane lage hain log jahaalat ki roTiyan

    mehnat se jin ko aar hai wo bhik mang kar

    din-raat toDte hain saKHawat ki roTiyan

    kha to rahe ho dekhna pachhtaoge ek din

    hoti nahin hain hazm adawat ki roTiyan

    leader hamare bahami nafrat ki aag par

    jab senk chuke gandi siyasat ki roTiyan

    ab aarzi fath pe nadidon ko dekhiye

    itra ke kha rahe hain himaqat ki roTiyan

    kutton ko khilaenge mohabbat ki ghizaen

    mehman ko khilate hain hiqarat ki roTiyan

    charbi ghaTa len apni sehat-mand aurten

    parhez mein khati hain nazakat ki roTiyan

    ghar ke kitchen ka buzurgo rakhna zara KHayal

    dekho wahan paken na baghawat ki roTiyan

    aql-e-kul hi jinhen chhu kar nahin gai

    banTo na un mein fahm-o-farasat ki roTiyan

    insan ko sataegi sada bhuk hawas ki

    jab tak na mayassar hon qanaat ki roTiyan

    meri sehat ka raaz bas itna hai 'KHwah-maKHwah'

    khata hun roz tanz-o-zarafat ki roTiyan

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now