husn ko ghayat-e-nazar jaana
husn ko ġhāyat-e-nazar jaanā
ye magar un ko dekh kar jaanā
koī āvāz-e-dardnāk aa.ī
chalne vaalo zarā Thahar jaanā
lamhe lamhe ko be-karāñ paayā
umr ko umr-e-muḳhtasar jaanā
rāhatoñ par bhī apnā haq samjhā
mushkiloñ ko bhī ham-safar jaanā
jitnā baḌhtā gayā shu.ūr-e-hunar
ḳhud ko utnā hī be-hunar jaanā
husn ko ghayat-e-nazar jaana
ye magar un ko dekh kar jaana
koi aawaz-e-dardnak aai
chalne walo zara Thahar jaana
lamhe lamhe ko be-karan paya
umr ko umr-e-muKHtasar jaana
rahaton par bhi apna haq samjha
mushkilon ko bhi ham-safar jaana
jitna baDhta gaya shuur-e-hunar
KHud ko utna hi be-hunar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.