idhar to shahr ke ganje meri talash mein hain
idhar to shahr ke ganje merī talāsh meñ haiñ
udhar tamām lafañge mirī talāsh meñ haiñ
maiñ un kā maal ġhaban karke jab se baiThā huuñ
yatīm-ḳhāne ke lauñDe mirī talāsh meñ haiñ
milā hai nusḳha javānī-palaT kā jab se mujhe
tumhāre shahr ke buDDhe mirī talāsh meñ haiñ
maiñ jin ke vāste juute churā ke jel gayā
vo le ke haath meñ juute mirī talāsh meñ haiñ
diyā hai naam kafan-chor jab se tum ne mujhe
purānī qabroñ ke murde mirī talāsh meñ haiñ
pate kī baat jo muñh se nikal ga.ī 'pāgal'
tamām shahr ke pagle mirī talāsh meñ haiñ
idhar to shahr ke ganje meri talash mein hain
udhar tamam lafange meri talash mein hain
main un ka mal ghaban karke jab se baiTha hun
yatim-KHane ke launDe meri talash mein hain
mila hai nusKHa jawani-palaT ka jab se mujhe
tumhaare shahr ke buDDhe meri talash mein hain
main jin ke waste jute chura ke jel gaya
wo le ke hath mein jute meri talash mein hain
diya hai nam kafan-chor jab se tum ne mujhe
purani qabron ke murde meri talash mein hain
pate ki baat jo munh se nikal gai 'pagal'
tamam shahr ke pagle meri talash mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.