is se pahle ki ghar ke pardon se
is se pahle ki ghar ke pardoñ se
Teddy-patlūn koī silvā luuñ
is se pahle ki tujh ko de kar dil
tere kūche meñ ḳhud ko piTvā luuñ
is se pahle ki terī furqat meñ
ḳhud-kashī kī scheme apnā luuñ
is se pahle ki ik tirī ḳhātir
naam ġhunDoñ meñ apnā likhvā luuñ
maiñ tirā shahr chhoḌ jā.ūñgā
is se pahle ki vo udū kam-baḳht
tere ghar jā ke chuġhliyāñ khaa.e
is se pahle ki deñ rapaT jā kar
tere mere sharīf ham-sā.e
is se pahle ki terī farmā.ish
mujh se chorī kā jurm karvā.e
is se pahle ki apnā thānedār
murġhā thāne meñ mujh ko banvā.e
maiñ tirā shahr chhoḌ jā.ūñgā
tujh ko āgāh kyuuñ na kar duuñ maiñ
apne is intizām se pahle
mashvara bhī tujhī se karnā hai
apnī marg-e-harām se pahle
koī aisī train batlā de
jaa.e jo tez-gām se pahle
aaj ke is dinner ko bhugtā kar
kal kisī vaqt shaam se pahle
maiñ tirā shahr chhoḌ jā.ūñgā
dil kī gardan maroḌ jā.ūñgā
is se pahle ki ghar ke pardon se
Teddy-patlun koi silwa lun
is se pahle ki tujh ko de kar dil
tere kuche mein KHud ko piTwa lun
is se pahle ki teri furqat mein
KHud-kashi ki scheme apna lun
is se pahle ki ek teri KHatir
nam ghunDon mein apna likhwa lun
main tera shahr chhoD jaunga
is se pahle ki wo udu kam-baKHt
tere ghar ja ke chughliyan khae
is se pahle ki den rapaT ja kar
tere mere sharif ham-sae
is se pahle ki teri farmaish
mujh se chori ka jurm karwae
is se pahle ki apna thanedar
murgha thane mein mujh ko banwae
main tera shahr chhoD jaunga
tujh ko aagah kyun na kar dun main
apne is intizam se pahle
mashwara bhi tujhi se karna hai
apni marg-e-haram se pahle
koi aisi train batla de
jae jo tez-gam se pahle
aaj ke is dinner ko bhugta kar
kal kisi waqt sham se pahle
main tera shahr chhoD jaunga
dil ki gardan maroD jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.