ism-e-azam
mujh se pūchhā kisī ne ai 'asrār'
tū chalātā hai kaise kārobār
sirf sajjādagī nibhātā hai
bhūkā rahtā hai yā ki khātā hai
maiñ ne un se kahā nahīñ tum sā
rizq detā hai mujh ko vo daatā
fikr-e-duniyā ko maiñ ne chhoḌā hai
sirf rishta ḳhudā se joḌā hai
garche ġhairoñ se ye chhupātā huuñ
tum ne pūchhā to maiñ batātā huuñ
ism-e-āzam kī raT lagātā huuñ
bhejā allāh kā maiñ khātā huuñ
mujh se puchha kisi ne ai 'asrar'
tu chalata hai kaise karobar
sirf sajjadagi nibhata hai
bhuka rahta hai ya ki khata hai
main ne un se kaha nahin tum sa
rizq deta hai mujh ko wo data
fikr-e-duniya ko main ne chhoDa hai
sirf rishta KHuda se joDa hai
garche ghairon se ye chhupata hun
tum ne puchha to main batata hun
ism-e-azam ki raT lagata hun
bheja allah ka main khata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.