jab dobāra kisī āshiq kā janm hotā hai
ik vafādār sag-e-kū-e-sanam hotā hai
taan aur taal kī tashrīh muġhannī jaane
jis ko khā lete haiñ ushshāq vo sam hotā hai
terā āshiq hai magar zabt kī ulTī tasvīr
chīḳh uThtā hai kabhī dard jo kam hotā hai
tiin harf us pe jo karte nahīñ itnī sī baat
kaaf re miim ke malne se karam hotā hai
be-tukī ḳhat meñ uḌāte haiñ hasīnān-e-firañġh
haath meñ un ke jahāñ par kā qalam hotā hai
jo dikhāte haiñ rah-e-ishq meñ sābit-qadamī
aise ushshāq ke pairoñ meñ varam hotā hai
mujh ko ma.alūm nahīñ dard hai yā kyā shai hai
kuchh mire dil meñ tire sar kī qasam hotā hai
jab dobara kisi aashiq ka janm hota hai
ek wafadar sag-e-ku-e-sanam hota hai
tan aur tal ki tashrih mughanni jaane
jis ko kha lete hain ushshaq wo sam hota hai
tera aashiq hai magar zabt ki ulTi taswir
chiKH uThta hai kabhi dard jo kam hota hai
tin harf us pe jo karte nahin itni si baat
kaf re mim ke malne se karam hota hai
be-tuki KHat mein uDate hain hasinan-e-firangh
hath mein un ke jahan par ka qalam hota hai
jo dikhate hain rah-e-ishq mein sabit-qadami
aise ushshaq ke pairon mein waram hota hai
mujh ko malum nahin dard hai ya kya shai hai
kuchh mere dil mein tere sar ki qasam hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.