jab kabhi yunhi sanak jata hun main
jab kabhī yūñhī sanak jaatā huuñ maiñ
shā.erī meñ daḳhl farmātā huuñ maiñ
DhūñD letā huuñ radīf-o-qāfiye
baiTh kar phir sher farmātā huuñ maiñ
Dhang kī mil jaa.e gar koī zamīn
duur tak phir pair phailātā huuñ maiñ
hijr meñ bigḌī hai apnī shakl yuuñ
dekh kar ā.īna Dar jaatā huuñ maiñ
jab koī kahtā hai tum se pyaar hai
peḌ par ghabrā ke chaḌh jaatā huuñ maiñ
ab nasīhat kā asar hotā nahīñ
kis qadar nāseh ko samjhātā huuñ maiñ
ḳhuub kartā huuñ maiñ sab par e.atibār
aur dhoka bārhā khātā huuñ maiñ
ḳhalq ko masrūr karnā kaam hai
aur miyāñ 'masrūr' kahlātā huuñ maiñ
jab kabhi yunhi sanak jata hun main
shaeri mein daKHl farmata hun main
DhunD leta hun radif-o-qafiye
baiTh kar phir sher farmata hun main
Dhang ki mil jae gar koi zamin
dur tak phir pair phailata hun main
hijr mein bigDi hai apni shakl yun
dekh kar aaina Dar jata hun main
jab koi kahta hai tum se pyar hai
peD par ghabra ke chaDh jata hun main
ab nasihat ka asar hota nahin
kis qadar naseh ko samjhata hun main
KHub karta hun main sab par eatibar
aur dhoka barha khata hun main
KHalq ko masrur karna kaam hai
aur miyan 'masrur' kahlata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.